Lahore Airport Par Overseas Pakistanion K Liye International Driving License Ki Sahulat – Sirf Chand Minton Mein!
Aik zabardast khabar overseas Pakistanion k liye! Ab Lahore Airport par chand minton mein international driving license hasil karna mumkin ho gaya hai. Lahore Traffic Police ne aik nayi aur aasan sahulat introduce ki hai jo safar karne wale Pakistani shehrion k liye kisi nemat se kam nahi.
Pakistan ki tareekh mein pehli martaba, Allama Iqbal International Airport, Lahore par international driving license ka aik khas kiosk qaim kar diya gaya hai. Is facility ka baqaida iftitah Chief Traffic Officer (CTO) Dr. Athar Waheed ne kiya.
CTO k mutabiq, ab musafiron ko foreign safar par nikalne se pehle hi international driving license mil sakta hai woh bhi airport par, bina kisi lambi line ya delay k. Yeh facility un logon k liye khaas tor par mufeed hai jo rozgaar, taleem ya tourism k liye bahar ja rahe hote hain.
Yeh naya service center 24 ghante, haftay k 7 din, yani 24/7 kaam karega. Is kiosk par sirf international license hi nahi, balkay:
- License renewal
- Duplicate license ka ijra
- Learner permit
jaise services bhi dastiyab hongi.
Is behtareen initiative ko public ne khushi k sath welcome kiya hai, khaas kar woh overseas Pakistanis jo traditional tariqon se license hasil karte waqt der ya pareshani ka samna karte thy.
Lahore Traffic Police ka yeh qadam digital sahulat aur awami khidmat ki taraf aik aham pehlu hai, jo Pakistanis ko foreign safar k liye aur zyada asani faraham karta hai.