Bharat Ki Janib Se Darya E Chenab K Bahao Ko Rokne K Bad Naye Kasheedgi

 

Bharat aur Pakistan k darmiyan phir se kasheedgi barh gayi hai jab Bharat ne Darya e Chenab  ka pani rokne ka faisla kiya. Is naye ikhlaqi aur siyasi buhran ne dono humsaya mumalik k darmiyan pareshaniyon mein izafa kar diya hai, jahan Pakistan ne Bharat par Sindh Taas Mahideh ki khula khuli khilaf warzi ka ilzam lagaya hai.

Pakistan k Mahkama Aabpashi k mutabiq, Head Marala par Darya e Chenab ka pani sirf 19,000 cusecs reh gaya hai, jis mein se sirf 3,000 cusecs pani downstream release ho raha hai. Khanki Barrage par inflow 9,000 cusecs hai jab k outflow sirf 1,000 cusecs hai. Head Qadirabad par pani ka inflow 6,000 cusecs hai, lekin koi bhi pani neechay nahi bheja ja raha.

Is k muqable mein, sirf chand din pehle 2 June 2025 ko Head Marala par 38,626 cusecs ka inflow tha aur 10,626 cusecs ka outflow. Khanki par 16,991 cusecs inflow aur 9,330 cusecs outflow record kiya gaya tha, jab k Head Qadirabad par 18,500 cusecs ka inflow tha.

WAPDA ne report kiya hai k 31 May se pehle k do dinon mein Bharat ne Darya e Chenab k bahao mein 91,000 cusecs ki dramatik kami ki.

Ye sab kuch us waqt hua jab Delhi ne April mein Pahalgam mein hone wale dehshatgardana hamlay k baad Sindh Taas Mahideh ko moattal karne ka ailan kiya. Is hamlay mein 26 shehri halaak huy thy aur Bharat ne Pakistan par ilzam lagaya tha, lekin koi saboot ab tak pesh nahi kiya gaya. Pakistan ne in ilzamat ko mustard karte huy aik ghair jaanibdaar tahqiqat ka mutaliba kiya hai.

Halankeh dono mumalik ne May mein sab se bade military standoff k baad aik ceasefire par ittifaq kiya tha, lekin Bharat k is yak tarfa karwai k baad Sindh Taas Mahideh ko "abeyance" mein rakh diya gaya hai, jisse mustaqbil mein pani k ta'awun par sawalat uth rahe hain.

Dono nuclear taqat rakhne wale mulkon k darmiyan paani ka ye naya buhran kisi naye sangheen tanazay ki taraf ishara kar raha hai.