Romania Mein Do Teehai Nai Naukriyon K Liye Kam Az Kam Aik Ghair Mulki Zaban Zaroori
Is saal Romania mein shamil ki gayi taqreeban 60% naukriyon k ilan mein ye shart di gayi k ummedwaron ko kam az kam aik ghair mulki zaban aani chahiye. Angrezi, German aur French sab se zyada demand mein rehne wali zabanain hain.
eJobs k mutabiq, jo Romania ka sab se bara online recruitment platform hai, saal k aghaz se ab tak 112,000 naukriyon mein se 64,000 mein foreign language ki demand shamil thi. Sab se zyada 48,000 naukriyon mein Angrezi zaban ka aana zaroori qarar diya gaya.
Dusri sab se zyada talab wali zaban German thi, jis k liye 8,100 naukriyon k ilan huy. French bolne walon k liye 3,400 aur Italian zaban walon k liye 2,400 naukriyon ki darkhwast thi.
eJobs ki Head of Sales, Roxana Drăghici ka kehna hai k “agar higher education aur office-based white-collar jobs k liye English aani lazmi hai, to ab hum dekh rahe hain k entry-level ya blue-collar jobs k liye bhi Angrezi zyada tar maqbool ho rahi hai, chahe fluency na bhi ho.”
Kuch kam maqbool lekin specific zabanain—jaise k Hungarian, Dutch, Turkish, Portuguese, Greek, ya Slovak—zyada tar call center/BPO ya tourism k fields mein maangi ja rahi hain. In positions mein, customer support k liye umeedwar chahiye hoty hain jo dusre mumalik k clients k sath kaam kar saken. Roxana k mutabiq, “In ghair mulki zabanon ka aana sirf plus point nahi, balkay naukri milne ki buniyadi shart hai. Is wajah se in fields mein salaries bhi aam tor par 20–30% zyada hoti hain, jo k average RON 3,500 (EUR 700) se barh kar hoti hain.”
Agar umeedwar ki baat ki jaye, to sab se zyada darkhwasten English-speaking jobs k liye di gayi hain—2.3 million. German zaban wali jobs k liye 85,000 darkhwasten, Italian k liye 66,000 aur French k liye 55,000 darkhwasten di gayi hain.
Spanish aur Hungarian zabanon k liye bhi 25,000 se zyada darkhwasten mil chuki hain. Jab k Russian, Polish, Turkish, Bulgarian, Dutch aur Turkish jaisi zabanon k liye 3,000 se 10,000 tak darkhwasten di gayi hain is saal k aghaz se ab tak.