Power Bank Phatne Se Parwaz Wapas Laut Aayi – China Southern Airlines Ka Haadsah

 

China mein aik China Southern Airlines ki parwaz ko us waqt wapas lautna pada jab aik power bank ne hawa mein dhamaka kar diya, jis se musafiron mein afra-tafri mach gayi. Ye waqia 31 May ko Hangzhou se Shenzhen jaane wali parwaz CZ6850 mein hua.

Flight ne jaise hi Hangzhou International Airport se udaan bhari, sirf 15 minutes k andar aik camera battery aur power bank se dhuan nikalna shuru ho gaya. Social media par share ki gayi video mein dekha gaya k luggage compartment se ghana dhuan uth raha tha. Musafiron ne chillana shuru kar diya aur jab usay khola gaya to us mein se battery aur power bank jal rahe thy.

Aik flight attendant ne foran aik mini fire extinguisher se aag bujhai. Us k baad pilot ne hifazat k liye parwaz ko wapas airport le jaane ka faisla kiya. Sina k mutabiq plane take-off k 15 minutes baad mehfooz tarike se land kar gaya.

China Southern Airlines ne social media par kaha:

“Amlay ne surat-e-haal ko ba waqt sambhala aur safety risk ko khatam kiya. Parwaz ne foran wapas laut kar mehfooz tarike se landing ki.”

Airline ne ye bhi wazahat ki k kisi musafir ko chot nahi aayi, aur un sab ko support diya jaa raha hai jo takhir ki wajah se mutasir huy.

Sath hi, airline ne musafiron ko aviation safety guidelines follow karne ki bhi hidayat di, taake aise waqiat dubara na hon.

Ye haadsah us waqt hua hai jab kuch airlines, jaise k Vietnam Airlines aur Vietjet Air, ne lithium power banks k istemal par ban laga diya hai. Isi tarah Singapore Airlines, Thai Airways, aur South Korean Airlines ne bhi aise hi bans laago kiye hain, kiyun ki ye devices aag lagne ka sabab ban sakti hain.