Adobe Photoshop Beta Ab Android Par Muft Dastiyab
Adobe Photoshop pehli dafa Android devices k liye launch kar diya gaya hai aur sab se achi baat ye hai k ye filhal bilkul muft hai. Ye app abhi beta version mein hai, is liye final version k paid hone k chances hain, jaise k Adobe k aam tor par hota hai. Aap is app ko seedha Google Play Store se download kar sakte hain.
Is app ko chalane k liye aap k paas kam az kam Android 11 aur 6GB RAM honi chahiye, jab k Adobe ki taraf se 8GB RAM ka mashwara diya gaya hai behtar karkardgi k liye.
Ye Android release kuch mahinon baad hua hai iOS launch k, aur bilkul iPhone version ki tarah, is mein bhi wahi aala darjy ki khususiyat mojood hain. Dono mobile versions mein taqreeban wohi khususiyat hain jo desktop Photoshop mein hoti hain — jo k duniya ka sab se powerful photo editing software mana jata hai.
Android Photoshop App Ki Khususiyat:
- Images ko combine aur blend karein using layers, selections aur masks
- Tap Select tool k zariye ghair matloob cheezen hataayen ya tabdeel karein
- Spot Healing Brush ka istemal kar k distractions ko seconds mein hataayen
- Generative Fill aur dosri Firefly AI-powered features se creative editing karein
- Muft Adobe Stock asasa jaat ki library se apne kaam ko enhance karein
- Object Select aur Magic Wand se durust selections banayen
- Tasweer ko behtar banane k liye Clone Stamp tools ko hata den
- Blend modes aur adjustment layers se effects aur layers par control hasil karein
Adobe ne ye bhi kaha hai k “aur zyada khususiyat jald aa rahe hain.”