Punjab Hukumat Ne Muft Safar Ki Sahulat Ka Elan Kar Diya
Punjab hukumat ne talba, buzurg shehri(jin ki umar 60 or is se zyada hogi), aur mukhtalif tor par mazoor afrad k liye awaami transport muft karne ka elan kar diya hai. Muft safar karne k liye traveling card banwana lazim hai jis ki qeemat 150 ha. Ye faisla Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ki zair-e-sadarat cabinet meeting mein kiya gaya, jiska maqsad in khas tabqon k liye safar ko asaan banana aur public transport tak behtar rasai faraham karna hai.
Meeting k dauran Chief Minister ne murghi ki qeematon ko kam karne k liye bhi iqdamat ka hukam diya. Sath hi, jinsi jaraim k muqadmat k liye khas tehqeeqati units banane ki manzoori di gayi hai, jo na sirf in waqiat ko rokne mein madad denge balkay mutasarin ko insaaf bhi faraham karenge.
Bunyadi dhanche k mansube mein naye airports Bhakkar aur Bahawalnagar mein banane ka mansuba bhi discuss kiya gaya. Bhakkar mein air ambulance services k liye airstrip k liye funds mukhtas kiye gaye hain taake dur daraz ilaqon mein emergency medical transport behtar banaya ja sake.
Punjab ki apni airline launch karne ka tajwez bhi jaiza liya gaya. Taleem k shoba mein World Bank k sath mil kar student grading system laya ja raha hai.
Zarat aur salamti mein behtari k liye, Punjab Fertilizer Control Act aur Punjab Arms Ordinance ki khilaf warzi par sazaon mein izafa kiya gaya hai. Is ka maqsad ghair qanooni hathiyaaron ka khatma aur kisani mayaarat ko barqarar rakhna hai.
Bureaucratic amal ko asaan banane k liye, paidaish aur wafat k certificates ki fees aik saal k liye maaf kar di gayi hai. Gareeb awam k liye qanooni amdad ki khidmaat bhi wasee ki ja rahi hain.
Punjab government ne 664 basarat se mehroom afraad ko daily wages par rozgar dene ka faisla kiya hai, jab k Punjab Crime Control Department mein 3,904 naye posts bhi banaye gaye hain taake awami tahafuz mein izafa ho.
Meeting mein Chengdu, China k sath taawun aur Punjab k ICT Hub project ka bhi jaiza liya gaya. Maholiati behtari k liye Green Pakistan Initiative k tehat “Cholistan Mein Watercourses ki Lining” mansoobe k manzoori di gayi.
Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ne meeting mein apne khitaab k dauraan barabari k taraqqi ka azm dohraya aur dosray subon k sath pani k ikhtilafat ko mustarad kar diya.