Sabr – Sirf Patience Nahin, Us Se Bhi Zyada

 

Sabr Ka Asal Matlab Kya Hai?

Aksar hum "sabr" ko "patience" yani bardasht ya tahammul k taur par samajhte hain. Lekin Arabic zaban ki khoobsurti ye hai k kuch alfaaz, jaise k sabr, ihsan, aur taqwa, itne wasee hain k English mein unka pura tarjuma aik lafz mein mumkin nahi hota. Sabr ka matlab sirf intezaar karna ya mushkil waqt mein chup rehna nahi hai sabr aik zinda, faal (active) aur positive sifat hai.


Qur’an Mein Sabr Ka Hukm


Allah Ta’ala Qur’an mein irshad farmate hain:


"Ae imaan walon! Madad haasil karo sabr aur namaz k zariye. Beshak Allah un k saath hai jo sabr karte hain." (Surah Al-Baqarah 2:153)


Is ayat se ye wazeh hota hai k sabr sirf bardasht ka naam nahi, balke aik aisi rohani aur amal ki halat hai jo momin k har amal mein shaamil hoti hai.


Sabr Ka Asal Mafhoom


Laghwi taur par “sabr” ka matlab hai: roknay ya ghair zaroori amal se khud ko baaz rakhna. Deeni tor par sabr ka matlab hai har haalat mein apne jazbaat ko kabu mein rakhna aur Allah k hukm k mutabiq amal karna chahe haalat mushkil ho ya aasaan.


Ulama ne sabr ko teen qisam mein taqseem kiya hai:


1. Sabr Allah Ki Itta’at Mein


Is qisam ka sabr un haalat mein dikhaya jata hai jab hum par koi aisa amal farz ho jo mushkil ho, lekin hum Allah k hukm par amal karte hain. Misal k taur par: gussa aa jana aik fitri jazba hai, lekin Allah ne gusse ko qabu mein rakhne ka hukm diya hai. Jab hum gusse mein aakar bhi khamosh rahte hain ya narmi se jawab dete hain, to ye sabr ka amal hai.


2. Sabr Gunahon Se Bachne Mein


Aaj k dor mein kai aise kaam aam ho gaye hain jo Islam mein na-jaiz hain jaise k ghalat alfaaz ka istemal, be-hayai, ya haram taleemat ka follow karna. Jab banda mashray k pressure k bawajood in buraiyon se khud ko roke, to ye bhi sabr ki aik shakal hai.


3. Sabr Musibat Par


Zindagi mein har shakhs kisi na kisi musibat ya azmaish ka shikar hota hai. Sabr yahan ye hai k hum Allah se shikayat na karein, apni koshish jari rakhein, aur namaz aur dua mein lagay rahein. Nabi Kareem (SAW) ka Mecca mein 13 saal tak Islam ka paighaam phelana aur har tarah ki takleef bardasht karna is sabr ki behtareen misaal hai.


Musibat Mein Sabr Kaise Ikhtiyar Karein?


1. Shikayat Na Karna


Nabi (SAW) ne farmaya:

"Asli sabr to us waqt hota hai jab musibat pehli martaba aaye." (Bukhari)

Yani pehla reaction sab se ahem hota hai. Kya hum “Alhamdulillah” kehte hain ya foran shikayat karte hain?


2. Koshish Se Peeche Na Hatna


Allah ne farmaya:

"Beshak Allah kisi qaum ki halat nahi badalta jab tak wo apne aap ko na badlein." (Surah Ra’ad 13:11)

Sirf dua kafi nahi, humein amal bhi karna hota hai.


3. Namaz aur Dua Se Juda Na Hona


Har mushkil mein Nabi (SAW) ne Allah se rabt banaye rakha. Unki zindagi saboot hai k sabr ka asal roop yehi hai k banda mushkil mein bhi apne Rab se nafrat na kare, balke aur kareeb ho jaye.


Sabr Ka Inaam


Qur’an mein Allah ne sabr karne walon k liye kayi inamat ka zikr kiya hai. Un mein se sab se azeem inaam hai:


"Allah un logon se mohabbat karta hai jo sabr karte hain." (Surah Aal-e-Imran 3:146)


Aur aik Hadith Qudsi mein aata hai:


“Jab main kisi bande se mohabbat karta hoon to main uska kaan ban jata hoon jisse wo sunta hai, uski aankhen ban jata hoon jisse wo dekhta hai, uske haath ban jata hoon jisse wo pakarta hai, aur uske paon ban jata hoon jisse wo chalta hai. Agar wo mujhse kuch maange to main use zaroor deta hoon, aur agar wo meri panaah maange to main usse zaroor bacha leta hoon.” (Bukhari)


Sabr sirf bardasht nahi, balke zindagi ko Allah k hukum k mutabiq dalne ka aik pur azm tareeqa hai. Sabr mein taqat hai, barkat hai, aur sab se barh kar Allah ka qurb hai.


To sabr ko aik ghair faal amal na samjhein, balke use apni zindagi ka active hissa banayein.