Sanaha Swat Mein Jaan Bahaq 10 Afraad Ki Namaz-e-Janaza Ada, 4 Afsaran Muattal
Swat k dardnaak waqiay mein jaan bahaq hone wale 10 afraad ki namaz-e-janaza ada kar di gayi, jab k zimmedari ka tayun karte huy 4 afsaran ko muattal kar diya gaya hai.
Soobai hukoomat ne sanaha mein halak afraad k lawahiqeen k liye 15 lakh rupay fi fard imdadi raqam ka elan kar diya hai.
Zarae k mutabiq, raat hone aur kuch kami k bais rescue operation k doran helicopter moqa par nahi pohanch saka, lekin zameeni tor par tamam dastiyab wasail barooye kaar laye gaye.
Mukhtalif iqdamat k tor par, darya-e-Swat mein har qisam ki khudai par pabandi aaid ki ja rahi hai. Is k sath sath tajawuzat k khilaf bhi sakht karwai ka faisla kiya gaya hai.
Sayahat k shaukeen afraad k tahaffuz k liye tamam zaroori SOPs jari kar diye gaye hain, taake mustaqbil mein is qisam k waqiat se bacha ja sake.
Chief Secretary Shahab Ali Shah ne kaha k Khyber Pakhtunkhwa ki hukoomat is afsosnak waqiay par ghamzada khandanon k sath hai aur unhein har mumkin madad faraham ki jayegi.