Federal Hakoomat Ne 5 aur 6 July Ko Ashura 2025 K Liye Chuttiyon Ka Elan Kar Diya
Pakistan ki federal hakoomat ne elan kiya hai k Saturday, 5 July aur Sunday, 6 July 2025 ko Ashura Muharram 1447 A.H. k silsile mein qaumi chhuttiyan hon gi. Yeh chuttiyan Muharram-ul-Haram ki 9vi aur 10vi tareekh k moqa par di ja rahi hain, jo poore mulk mein manayi jayengi.
Cabinet Division k jari karda official notification k mutabiq jo k pehle circular No.10-01/2024-Min-11 dated 23 December 2024 ka hissa hai Wazir-e-Azam ne in chhuttiyon ki manzoori de di hai. Yeh chhuttiyan un idaaron k liye bhi laagu hongi jo haftay mein 5 din ya 6 din kaam karte hain, taa ke sab departments mein barabari ka nizam barqarar rakha ja sake.
Ashura Ka Maqsad Aur Ahmiyat
Ashura, Islam k sab se muqaddas dino mein se aik hai. Yeh din Nawasa-e-Rasool, Hazrat Imam Hussain (RA) aur unke wafadar sathiyon ki Karbala mein shahadat ki yaad mein manaya jata hai. Yeh din khas tor par Shia community k liye roohani aur tareekhi tor par nihayat ahem hai. Is moqa par mulk bhar mein majalis, jaloos, duaon aur ibadat ka ehtemam kiya jata hai.
Offices Band Rahenge
Notification k mutabiq, is moqa par:
- Tamaam federal government offices
- Public sector institutions
- Aksar private organizations
band rahengi. Har sooba apne local halaat aur security zarurat k mutabiq alag se notification jari kar sakta hai.
Aman-o-Aman Ka Plan
Ashura k doran, mulk bhar mein bara paimana par religious gatherings aur jaloos hone ka imkaan hai, khas tor par Karachi, Lahore, Islamabad, Quetta, aur Peshawar jaise shehron mein. Is silsile mein security institutions aur local administrations ne aman-o-aman, traffic control, aur public safety k liye mukammal security plan tayar kar liya hai.
Maqsad yeh hai k log ibadat aur yaad-e-Karbala mein kisi rukawat k baghair hissa le saken aur mulk mein pur-aman mahol barqarar rakha ja sake.