Islamabad Mein Khelon Ka Naya Dor: 54 Naye Playground Banaye Jayenge, Shehar Ko Sports Aur Tourism Ka Markaz Banane Ka Ailan

 Islamabad — Wazeer-e-Dakhla Mohsin Naqvi ne Islamabad ko aik zyada khel-dost aur dilkash shehar banane k liye aik bara taraqiati plan ka ailan kiya hai, jisme shehar bhar mein 54 naye playgrounds banaye jayenge. Ye qadam na sirf shehar k nojawano ko sehatmand masroofiyat faraham karega, balki Islamabad ko mulk k sab se aala sports aur tourism hubs mein tabdeel karne mein madadgar hoga.

Cricket aur Football K Liye Khaas Tawajju

Is plan k tehat, mukhtalif sectors mein 25 naye cricket grounds aur 25 naye football grounds banaye jayenge. Har ground ko international mayar k mutabiq tayar kiya jayega taake yahan naye players apni skills behtar tareeqe se develop kar saken.

Iske ilawa, football k farog k liye khas tor par 3 mukhtasir lekin maqsood grounds bhi banaye ja rahe hain. In grounds ka maqsad youth aur nayi nasal mein football k liye lagan paida karna hai taake Pakistan ka future is game mein bhi roshan ho.

Indoor Cricket Aur Academies Ka Qiyam

Mohsin Naqvi ne indoor cricket ground k liye bhi jagah muqarrar karne ka hukm diya hai jahan barsat ya dhoop mein bhi players training jaari rakh saken. Cricket k irteqa k liye 5 naye cricket academies ki bhi manzoori de di gayi hai. Ye academies structured training dene k liye banai ja rahi hain jahan nojawano ko professional coachon k zariye grooming aur talent development ka moka milega.

Tafreeh Aur Shehar Ki Khoobsurti Mein Izafa

Sirf khel hi nahi, balke tafreeh aur shehar ki khoobsurti ko bhi is plan ka hissa banaya gaya hai. F-9 Park mein aik dancing fountain lagaya jaayega jo logon k liye aik naya tafreehi markaz banega. Isi tarah Lake View Park mein aik roshanion se bharpoor light show bhi tayar kiya ja raha hai jo raat k waqt shehar ki dilkashi mein izafa karega.

Cable Car, Ferris Wheel Aur Theme Park Ki Taqreeban Tayari Mukammal

Tafreeh aur tourism k mazeed farog k liye aik cable car project, Ferris wheel, aur theme park ka bhi mansooba bandi ki gayi hai. Ye tamaam projects Islamabad ko aik modern aur family-friendly shehar banane mein madad denge. Ye muqammi logon k sath sath mulk bhar k sair-o-sayahat karne walon ko bhi attract karenge.

Shehar Ki Beautification Ka Naya Plan

Shehar ki tareeqi sirf khel aur tafreeh tak mehdood nahi rakhi gayi. Tamaam bade highways par naye landmark signs lagaye jayenge jo na sirf rasta dikhane mein madadgar honge, balke shehar ki shakl-o-soorat ko bhi zyada modern aur saaf banayenge.

Hukumat Ki Wazeh Vision

Yeh tamam developments hukumat k us wazeh vision ka hissa hain jiska maqsad Islamabad ko aik aisa shehar banana hai jo na sirf apne bashindon k liye sehatmand aur dilkash ho, balki mulk bhar mein aik misaal ban sake. Mohsin Naqvi ka kehna tha k "yeh sirf infrastructure ka plan nahi, balki nojawano ki energy ko sahi simt mein lagane ki aik koshish hai."

Agle chand mahino mein jab yeh tamaam projects mukammal honge, to Islamabad na sirf Pakistan mein balki duniya bhar mein aik modern, active aur khubsurat shehar k tor par pehchana jaayega.