Gurday ki sehat k liye 5 behtareen phal

 

Apples jaise phal jo soluble fiber pectin se bharpoor hote hain, cholesterol kam karne mein madadgar hote hain, jab k blueberries aur strawberries jese phal jo potassium aur phosphorus mein kam hote hain, gurday ki sehat k liye mufeed sabit ho sakte hain.

Dr. Dao Thi Yen Thuy, jo ke Tam Anh General Hospital, Ho Chi Minh City mein Nutrition aur Dietetics Department ki sarbarah hain, kehti hain k jin logon ko chronic kidney disease (CKD) hai, unhein potassium, sodium, aur phosphorus ka intehai ehtiyaat se istemal karna chahiye taake gurday k kaam ko zyada mushkil na banaya jaye. Unka kehna hai k antioxidants aur fiber se bharpoor phalon ko tarjeeh dena chahiye.

Yahan woh 5 phal hain jo gurday ki sehat k liye faidemand hain:

1. Saib (Apples)

Saib mein sodium nahi hota. Aik saib mein taqreeban 158 mg potassium aur 10 mg phosphorus hota hai. Yeh pectin jese soluble fiber se bharpoor hotay hain jo cholesterol kam karte hain, blood sugar ko control mein rakhte hain, aur un factors ko manage karte hain jo gurday ki sehat ko nuqsan pohncha sakte hain.

2. Neel Badri (Blueberries)

Blueberries mein vitamin C, fiber, aur anthocyanins mojood hote hain jo k taqatwar antioxidants hain. Yeh gurday ki cells ko free radicals se bachate hain. 50 gram blueberries mein sirf 65 mg potassium, 4 mg sodium, aur 7 mg phosphorus hota hai jo kidney k mareezon k liye bilkul theek hai.

3. Strawberry

Strawberries mein bhi anthocyanins, vitamin C, aur manganese hotay hain jo immune system ko mazboot banate hain, soozish ko kam karte hain aur gurday ki functioning ko behtar banate hain. Sirf 50 gram (lagbhag 5 strawberries) mein 1 mg sodium, 120 mg potassium, aur 13 mg phosphorus hota hai.

4. Cherries

Cherries mein phytochemicals aur antioxidants mojood hote hain jo k anti-inflammatory asraat rakhte hain. Yeh free radicals ko neutralize karte hain aur cells ko mehfooz rakhte hain. In mein potassium, sodium, aur phosphorus ki miqdar bhi kam hoti hai, is liye yeh kidney k mareezon k liye acha intekhab hain.

5. Nashpati (Pears)

Nashpati halka meetha, paani se bharpoor aur asaani se hazam hone wala phal hai. 100 gram pakki hui nashpati mein taqreeban 119 mg potassium hota hai. Is mein sodium aur phosphorus bhi kam hota hai. Yeh bhi pectin, vitamin C, aur antioxidants se bharpoor hoti hai jo hazme ko behtar banati hai, dil ki sehat mein madad deti hai aur gurday k cells ko oxidative damage se bachati hai.

Dr. Thuy ki Salah:

  • CKD k mareezon ko high-potassium foods jaise kela, santara, pakka aam, sweet potato, aur avocado se parhez karna chahiye.
  • Namak aur strong masalay kam istemal karein.
  • Processed aur zyada salty khane se gurez karein.
  • Din bhar ka khana chhoti chhoti meals mein taqseem karein taake hazma aur gurday dono pe kam bojh ho.
  • Pani ka istemal apni sehat k mutabiq karein na zyada na kam. Zyada pani swelling ka sabab ban sakta hai aur kam pani dehydration aur kidney damage ka.

Regular check-up zaroori hain taake gurday ki functioning aur blood electrolyte levels ka maloom ho sake. Har shakhs k test results aur unki bimari k stage k mutabiq, doctors sahi phal aur unki miqdar ka mashwara detay hain taake potassium, sodium, aur phosphorus ka level control mein rahe.