Pakistan ka Bharat se Indus Waters Treaty ka ehtram karne ka mutalba, adalat ka faisla Pakistan kay haq mein

 

Pakistan ne Bharat se mutalba kiya hai kay woh foran Indus Waters Treaty kay tahat apne ahd o paiman dobara shuru kare, jab kay aik ahem adalti faisle mein Court of Arbitration ne Pakistan ka moqa barqarar rakha hai. Adalat ne wazeh tor par kaha kay Bharat kisi bhi surat mein akela treaty ko moattal (suspend) nahi kar sakta.

Itwar kay din, Pakistan kay Foreign Office ne court kay Supplemental Award ka khair maqdam kiya, jo kay yeh tasleem karta hai kay Indus Waters Treaty puri tarah se qanooni tor par valid aur operational hai. Adalat ne yeh bhi tasdeeq ki kay woh Kishenganga aur Ratle hydroelectric projects kay hawalay se arbitration kay amal ko aage barhane ka ikhtiyar rakhti hai.

Yeh faisla uske baad aaya hai jab Bharat ne 23 April 2025 ko Pahalgam mein aik militant hamlay kay baad treaty ko aik tarafah tor par moattal karne ka elaan kiya tha. Magar adalat ne faisla diya kay treaty mein kisi aik taraf ko bina doosri taraf ki raza mandi kay tor par usse rokne ka koi clause mojood nahi hai.

Pakistan ne kaha kay yeh faisla uske qanooni moqaf ko mazid mazbooti deta hai aur Bharat ko apne bain-ul-aqwami zimmedariyon ka pas rakhne ki yaad dilata hai. Foreign Office ka kehna tha kay yeh faisla is baat ki ahmiyat ko ujaar karta hai kay do tarafah muahidon ka ehtram zaroori hai, khaas kar woh jo paani kay haqooq se mutaliq hon.

Court kay mutabiq, woh is tanazay ko insaaf, waqt par aur asar daar tor par hal karne kay liye apna kirdar jari rakhe gi. Adalat ne yeh bhi wazeh kiya kay Bharat ka treaty ko moattal karne ka qadam ghair-qanooni tha aur kisi qabil-e-tasleem bunyad par mabni nahi tha.

Yeh taza tareen taraqqi Pakistan kay liye aik diplomiati kamyabi kay tor par dekhi ja rahi hai. Officils ka kehna hai kay court ka yeh faisla Pakistan kay paani kay haqooq kay tahafuz mein madadgar sabit hoga aur bain-ul-aqwami qanoon kay tehat zimmedarion ka taayun karega.