Hukoomat ka Faisla: Islamabad k Mukhtalif Ilaaqon Mein Free Internet Hotspots Muhiya Karne Ka Plan
Islamabad: Federal Hukoomat ne awaam k liye aik aham qadam uthate hue Islamabad k mukhtalif ilaqon mein free internet hotspots muhiya karne ka faisla kiya hai. Yeh initiative Ministry of Information Technology aur National Information Technology Board (NITB) k zariye shuru kiya ja raha hai jiska maqsad logon ko asaan aur mehfooz internet access faraham karna hai.
Kahan Kahan Muhiya Hoga Free Wi-Fi?
Hukoomat k mutabiq pehle marhale mein yeh internet hotspots in maqamat par install kiye ja rahe hain:
- D-Chowk
- Pakistan Monument
- Fatima Jinnah Park (F-9)
- Lake View Park
- Centaurus ke aas paas
- G-9 aur G-10 Markaz
- Islamabad Railway Station
- Metro Bus Stations
Yeh woh maqamat hain jahan rozana hazaaron log guzarte hain is liye logon ki sahulat k liye yeh muhim shuru ki gayi hai.
Project Ka Maqsad
Is initiative ka maqsad digital access ko behtar banana hai, khaaskar un logon k liye jo data afford nahi kar sakte. Is se:
- Talib-e-ilm online study materials asani se access kar sakenge
- Tourists ko directions aur info mil sakti hai
- Freelancers aur remote workers bhi is se faida utha sakte hain
Security Measures
Internet hotspots mein secure login system hoga jahan har user ko OTP k zariye verify kiya jayega. Yeh ensure karega k misuse na ho aur data security barqarar rahe.
Future Expansion
Hukoomat ka kehna hai k agar yeh project kamyab hota hai to ise dusre shahron tak bhi phela diya jayega jaise k Lahore, Karachi, Peshawar aur Quetta.
Aakhir Main:
Yeh step digital Pakistan ki taraf ek aur qadam hai. Free internet access na sirf logon ki zindagi asaan karega balkay taleem, tijarat aur infotainment mein bhi madadgar sabit hoga.