Italy ka Work Visas Ka Bara Elaan – 2026 se 2028 Tak 5 Lakh Tak Visas Diye Jayenge
Italy ne non-EU (European Union) mulkon k logon k liye work visas mein bara izafa karne ka elan kiya hai. Yeh faisla mulk mein employees ki kami ko poora karne k liye legal immigration k raston ko barhawa dene k liye kiya gaya hai.
Hukumat ne kaha hai k 2026 se 2028 tak qareeban 5 lakh naye work visas jaari kiye jayenge. Sirf 2026 mein 1,64,850 logon ko Italy aane ki ijazat di jayegi, aur 2028 tak yeh total 4,97,550 log ban jayenge.
Yeh Prime Minister Giorgia Meloni ka dosra bara qadam hai is silsile mein jab se woh lagbhag teen saal pehle apni right-wing coalition k sath hakoomat mein aayi hain. Hakoomat is se pehle bhi 2023 se 2025 tak 4.5 lakh se zyada work permits jaari karne ka faisla kar chuki hai.
Ek taraf jahan woh legal migration ko support kar rahi hain, wahin dusri taraf Meloni hukumat ne illegal immigration k khilaf sakht rawayya ikhtiyar kiya hai is mein jaldi deportation, aur samundar se migrant bachanay wali NGOs ki activities ko rokna bhi shamil hai.
Hukumat k bayan k mutabiq:
“Yeh quota un zaruraton ko madde nazar rakh kar tay kiya gaya hai jo pichlay saalon mein kaam k liye di gayi applications aur industries k feedback par mabni hai – taake yeh program haqeeqat pasand aur businesses ki zarurat k mutabiq ho.”
Italy jahan abadi mein buzurg afraad ka ratio barh raha hai aur paidaish ka rate gir raha hai, wahan economy ko chalane ke liye foreign workers ki bohat zarurat hai. Sirf 2024 mein 2.81 lakh zyada amwat paidaish se hui hain, aur mulk ki abadi 37 hazaar kam ho kar 58.93 million reh gayi hai. Yeh kami pichlay 10 saalon se jaari hai.
Italy ki agricultural lobby Coldiretti ne hukumat k is qadam ka khushi se khairmaqdam kiya hai aur kaha hai k yeh mulk k kheton aur food production k liye kaam karne walon ki availability ko yaqini banane ke liye aik aham marhala hai.
Interior Minister Matteo Piantedosi ne aik interview mein kaha:
"Hakoomat apni policy par mazbooti se kaarband rahegi taake legal migration k rasty khulay rahain, jinka faida economy k aham sectors ko pohanchta rahe.”
Ek research k mutabiq agar Italy apni abadi ko barqarar rakhna chahta hai to usay 2050 tak kam az kam 1 crore (10 million) immigrants ko qabool karna padega. Yeh research Osservatorio Conti Pubblici think tank ne ki hai.