Pakistani Student Saleeta Qadir Ka Kamal: Global AI Competition Mein Duniya Ko Hairan Kar Diya
Germany ki University of Erlangen mein Artificial Intelligence ki student Saleeta Qadir ne duniya bhar mein Pakistan ka naam roshan kar diya. Unho ne “Best Illusion of the Year” competition mein Top 10 finalists mein jagah banayi hai.
Inka project, “Static Spin” aik optical illusion hai jo dekhne walay ko yeh mehsoos karwata hai k image ghoom rahi hai jabke asal mein woh bilkul static hoti hai.
Competition Ka Background
Yeh mukabla Neural Correlate Society ke zariye host kiya gaya tha aur yeh apne 20th saal mein hai. Har saal is competition mein duniya bhar se scientists, artists aur students hissa lete hain jo naye naye illusions design karte hain takay yeh samajh sakhein k insan ka dimagh visuals ko kaise process karta hai.
Static Spin - Saleeta Ka Project
Saleeta ka illusion aik ballerina dancer ko dikhata hai jiska silhouette continuously black aur white k darmiyan switch karta hai. Jabke dancer move nahi kar rahi hoti, lekin tones k shift hone ki wajah se dimaagh ko lagta hai k woh dancer ghoom rahi hai.
Yeh illusion computer graphics, maths aur storytelling ka aik behtareen mix hai. Saleeta ne isay apne Master’s project k tor par develop kiya hai.
Professor Ka Reaction
Uske supervisor Professor Bernhard Egger ka kehna hai:
"Saleeta ka kaam technology aur art ke darmiyan aik khoobsurat pul hai. Artificial Intelligence kis tarah creative expression ko barha sakti hai, yeh iska behtareen example hai."
Innovation aur Open Science
Yeh illusion aik 1990s ke flat 2D illusion se inspired tha. Lekin Saleeta ne isay next level par le ja kar aik 3D dynamic visualization mein tabdeel kar diya.
Sabse achi baat yeh hai k Saleeta ne apna source code bhi open-source kar diya hai, taa ke dusre log bhi is idea ko apne visuals mein use kar saken.
Pakistan Ka Fakhar
Saleeta ka mukabla Japan, China, USA, UK, Serbia aur Czech Republic k powerful entries se hai. Lekin usne sirf apni university hi nahi Pakistan ka bhi naam roshan kiya hai especially artificial intelligence aur visual computing ki field mein.
Public voting abhi open hai aur log official website par ja kar vote kar sakte hain.
Saleeta Qadir Pakistan ke un naye sitaroon mein se ek hai jo AI aur technology k zariye mulk ka mustaqbil roshan kar rahe hain. Uska kaam sirf technical nahi, balke artistic bhi hai jo duniya ko inspire kar raha hai.