Adakara Hina Bayat Karachi airport ke washrooms mein paani ki adam farahmi par seekh pa.





 Adakara ne apne Instagram account par aik video share karte hue gusse ka izhar kiya.

Adakara ne kaha ke aaj Youm-e-Takbeer hai aur main Jinnah International Airport par maujood hoon, aaj ke din humein Pakistan ki kamyabi aur taraqqi par khushiyan manana chahiyein, lekin main yeh dekh rahi hoon ke airport ke kisi bhi washrooms mein paani nahi hai.

Hina Bayat ne sawal uthaya ke hamare airports aur idaron ka yeh haal kyun hogaya hai? Koi is cheez ko maan’ne ke liye tayyar nahi hai ke yeh ghaltiyan hain jinhein theek karne ki zarurat hai.

Unhon ne mazeed kaha ke naye naye projects ban rahe hain lekin purane projects, jaise ke International Airport ke washrooms mein paani muhayya nahi ho raha — bohat afsos ka maqam hai.