ChatGPT Down Hone Se Duniya Bhar Mein Kaam Aur Taleem Ka Nizam Mutasir
Users Pareshan
OpenAI ka mashhoor AI tool ChatGPT aaj subah se duniya bhar mein down hai, jis ki wajah se kai logon ka kaam ruk gaya hai. Ye masla subah 4 baje ET k aas paas shuru hua aur ab tak mukhtalif platforms ko mutasir kar chuka hai, jin mein ChatGPT web, mobile apps, API, aur video banane wala model Sora shamil hain.
Downdetector ki report k mutabiq hazaaron sarfin ne masail ki report ki. OpenAI ne bhi website par tasdeeq ki aur kaha:
“ChatGPT aur API mein zyada error rates aur latency dekhne ko mil rahi hai.”
OpenAI Ka Jawab – Masla Daryaft Kar Liya Gaya Hai
OpenAI k engineers ne maslay ki wajah daryaft kar li hai aur is waqt maslay ko door karne par kaam jari hai.
10:54 a.m. ET par company ne update diya:
“Tamam services ki mukammal recovery mein chand ghante lag sakte hain.”
System status page k mutabiq 14 API services, 21 ChatGPT components, aur 4 Sora features is outage se mutasir huy hain.
Kya Kya Down Hai?
Is outage ka asar lag bhag har service par hua hai:
- ChatGPT Web, Desktop, iOS, Android aur WhatsApp version
- API features jaise k chat, image, audio, files aur realtime responses
- DALL·E image generation
- Sora ka video generation, video playback, feed aur image generation bhi down hai
Jo users desktop ya browser par ChatGPT istemal kar rahe hain, unhen error messages mil rahe hain. App users ko sirf pulsing circle dikh raha hai, jo AI k “sochnay” ka signal hota hai.
Offices Aur Students Dono Pareshan
Ye outage khas tor par un logon k liye mushkil ka sabab bana hai jo rozana kaam k liye ChatGPT ka sahara lete hain. ChatGPT email likhne, research karne, aur support provide karne mein madad deta hai.
Aik user ne X (Twitter) par likha:
“Chart bana raha tha office k liye aur ChatGPT down ho gaya. Kamaal!”
Students bhi pareshan hain, jo is AI ko assignments aur exam prep k liye istemal karte hain.
Social Media Reactions – Hansna Aur Gussa Dono
Jaise hi outage ka pata chala, X (Twitter) par logon ne apny reactions share kiye. Kuch log hans rahe hain, to kuch gusse mein hain.
Aik user ne likha:
“ChatGPT down hai… ab mujhe khud se emails likhni padengi. Dua karen sab.”
Dusra user:
“Yaad hai jab hum khud sochte thay? Pagalpan tha wo waqt. AI apocalypse kaise jhel rahe ho?”
Kab Tak Theek Hoga?
OpenAI ne abhi tak exact waqt nahi diya magar kaha hai k chand ghanton mein tamam services recover ho sakti hain. Latest updates k liye users OpenAI system status page check karte rahen.
Tab tak, lagta hai logon ko kuch der k liye phir se apne kaam khud karne padenge — jaise emails likhna aur research karna.