Punjab mein Eid k dauran aarzi jhoolon par pabandi – bachon or khandanon ki hifazat k liye qadam

 

Lahore, 1 June: Punjab Hukumat ne Eid-ul-Adha k moke par aik aham faisla karty huy aarzi mechanical jhoolon par poore soobay mein pabandi laga di hai. Ye faisla awam, khaas kr bachon, ki jaan o maal ki hifazat ko madde nazar rakhty huy kiya gaya hai.

Mahkamah dakhala k notification k mutabiq, sirf wo permanent rides jo registered amusement parks mein lagaye gaye hain or jin k paas valid fitness certificate or safety clearance hai, wohi chal sakenge. Har jhooly k malik ko apny Deputy Commissioner se ijazat lena bhi zaroori hoga.

Yeh pabandi un waqi’at k baad lagayi gayi hai jahan ghair-meyaari or purany jhooly toot kar gir gaye ya overload hone ki wajah se logon ki jaan ko khatra hua. Aik afsar ne kaha: "Zindagiyon k sath khel kar tafreeh hasil karna qubool nahi."

Hukumat ne wazahat ki k is karwai ka maqsad sirf or sirf hadsat se bachne or mehfooz mahol faraham karna hai, khas taur par Eid k din jab har taraf rush hota hai or bachay jhoolon ki taraf daurte hain.

Tamam district administrations ko hidayat di gayi hai woh Eid k dauran public areas ko monitor karen or agar koi aarzi jhooly  lagaye jaye to foran action len. Sirf wo permanent jhooly jo safety certified hain, unhein chalanay ki ijazat hogi — lekin sarkari nigrani ke sath.

Ye qadam kuch business walon ke liye sakht ho sakta hai, lekin waldain or hifazti mahrin  ne is faislay ka khushi se khair maqdam kiya hai. Ye sabit karta hai ke Punjab hukumat awam ki jaan o aman ko sab se pehle rakhti hai, khaas kar chutiyon k doran.

//