Romania Ne Nai Electronic Shanakhti Card K Liye Official Website Launch Kar Di
Romanian shehri ab nai electronic identity card (CEI) k mutaliq tamam official maloomat aik waqaf hukoomati website k zariye hasil kar sakte hain, jo budh k din launch ki gayi. Ye platform card hasil karne ka tarika, is ki khasusiyat aur hifazati anasir ka tafseel se jaiza deta hai, aur riwayati aur electronic ID cards k darmiyan farq ko bhi wazeh karta hai.
Interior Ministry k mutabiq, website ko teen aham hisson mein taqseem kiya gaya hai – Despre (About), GhiÈ™ee (Service Desks), aur Utile (Useful Info).
Despre section mein users jaan sakte hain k card par kya visible data hoga aur chip mein kya maloomat store ki jaye gi. Sath hi is section mein card k aala darjy ki hifazati khasosiyat aur amal daramad ka waqt bhi diya gaya hai.
Ghișee section shehrion ko un local offices ka pata deta hai jahan wo electronic ID k liye apply kar sakte hain. Is mein contact details, email addresses, phone numbers, aur har issuing office ka map location shamil hai. Ye offices dhire dhire mulk bhar mein phelaye ja rahe hain.
Utile section mein frequently asked questions ka jawab diya gaya hai – jaise k CEI ko activate, deactivate ya reactivate karne ka tareeqa, aur agar card kho jaye to kya karna chahiye.
Naya electronic identity card Romanian shehrion k liye bilkul muft hai, aur ye facility National Recovery and Resilience Plan (PNRR) k funding limit k andar di ja rahi hai. Shehri apna purana (1997 model) ID expire hone se pehle bhi naya card hasil kar sakte hain.