Shadeed Garmi K Bawajood, Makkah Mein Hajj 2025 K Liye 13 Lakh Se Zyada Haji Pohanch Gaye

 

MAKKAH: Hajj 2025 k aghaaz se pehle, 13 lakh se zyada Musalman Haji Makkah pohanch chuke hain, jahan woh sakht sehrai garmi ka samna kar rahe hain. Is haftay darja hararat 40°C (104°F) se zyada tak jaane ka imkaan hai. Saudi hukumat ne Hajj k dauran kisi bhi hadse se bachne k liye chand aham iqdamat uthaye hain.

Pichle saal k sanihay k baad – jahan 1,300 se zyada haji garmi se halaak huy thy, un mein se bohot se ghair-registered thay – is saal 250,000 afraad par mushtamil staff or 40 mukhtalif idaray kaam par laga diye gaye hain. Hukumat ne 50,000 square meter izafi saya dar ilaqe banaye hain, 400 se zyada cooling units lagaye gaye hain, or tibbi staff ki tadad mein bhi izafa kiya gaya hai.

Hajj Islam k panch bunyadi arkan mein se aik hai, or har wo Musalman jo maali or jismani tor par is safar k qabil ho, us par Hajj farz hai. Sakht garmi or security check k bawajood, hazaron hajiyon ne is paak safar ka hissa banne par shukar guzari ka izhar kiya. “Ye Allah ki taraf se aik azeem rehmat hai,” Philippines se aaye haji Abdul Majid Ati ne kaha.

Saudi Arabia ne ghair-registered hajiyon k khilaf sakht mahum shuru kar di hai. Is mein drones, AI surveillance, or SMS alerts ka istemal kiya ja raha hai. Baghair valid Hajj ijazat k aane walon ko na sirf wapas bheja ja sakta hai, balke un par bhaari jurmane or 10 saal ka ban bhi lagaya ja sakta hai.

Senegal se aayi 52 saal ki Mariama k liye ye aik zindagi bhar ka khwab pura hone jaisa hai. “Mein har waqt sochti thi k aik din yahan aaoon, or aaj Allah ne ye mouqa diya,” usne kaha.

Hajj or Umrah se Saudi Arabia ko har saal arabon dollar ki aamadani hoti hai, or ye mulk ki mazhabi or siyasi ahmiyat ko bhi mazid mazboot banata hai, khas taur par do maqdas masajid k matwali k tor par.

//