Asiai mumalik mein Pakistan ke call centers par ab tak ka sab se bara crackdown kiya gaya hai.




Karachi: Maazi mein cyber fraud aur scams ke khilaaf Punjab ke Odh qabeelay ke khilaaf idhri udhri operations to hotay rahe hain, magar guzishta 5 roz se Asia ki tareekh ka sab se bara call centers aur scammers ke khilaaf crackdown jaari hai.

Is karwai ka naam "Operation Grey" rakha gaya hai. Operation ki hassasiyat aur is mein mulawis 10 se zyada ghair mulki afraad ki wajah se har chhoti bari karwai ke mutaliq Wazeer-e-Dakhla Mohsin Naqvi aur Wazeer-e-Azam Shehbaz Sharif ko muttali kiya ja raha hai.

In chaapa maar karwaiyon mein pehli dafa aisa hua hai ke zeer-e-hirasat mulziman ke crypto currency wallet se Bitcoins bhi baramad hue hain. Ab tak baramad shudah ghair mulki currency ka volume 5 crore rupay se zyada hai.

Is ghair mamooli operation ki sarbaraahi National Cyber Crime Investigation Agency (NCCIA) Headquarter mein tainat Additional Director Operations Aamir Nadeer kar rahe hain. Islamabad HQ, Rawalpindi aur Islamabad circles ki tamam afradi quwwat is operation mein hissa le rahi hai.

Jin ghair mulkon ke shehri zeer-e-hirasat hain un mein Vietnam, Indonesia, Malaysia, China, Bangladesh, Thailand, Kenya, South Africa aur doosray mumalik ke log shamil hain.

Aala satah par yeh faisla kiya gaya hai ke sarghanon ke khilaaf FIRs darj ki jaayengi jabke baqi afraad ko deport kar diya jaayega.

NCCIA ke aik aala afsar ke mutabiq Eid ki chhuttiyon ke baad is operation ko aur zyada wasee karte hue poore mulk ke illegal call centers (jis tarah Armaghan apna call center chala raha tha) ke khilaaf karwaiyon ka aaghaz kar diya jaayega.