Pakistan ki senior adakara Samina Peerzada ne khawateen ki aamdani mein barkat na hone se mutaliq bayanaat ko "bakwaas" qarar de diya.
Senior adakara Samina Peerzada ne haal hi mein diye gaye ek interview ke dauran mukhtalif mozuaat par guftagu ki.
Mezban ne Samina Peerzada se sawal kiya ke:
"Hamare yahan kai adakaraon ka maanna hai ke aurat ki kamai mein barkat nahi hoti, aur woh bilon ki lambi lineon mein nahi khari ho sakteen. Aap is bare mein kya kehti hain?"
Sawal ke jawab mein Samina Peerzada ne kaha:
"Maine bhi bohat suna hai ke aurat ki kamai mein barkat nahi hoti, uski aamdani hawai rozi ki tarah hoti hai waghera waghera… yeh sab bakwaas hai!"
Adakara ne apne shohar Usman Peerzada ke hawale se bataya ke:
"Haal hi mein ek interview mein Usman ne meri bohat tareef ki thi kyunke maine apni betiyon ko parha likhaaya. Agar meri kamai mein barkat na hoti tou meri bachiyan kaise parhti? Maine betiyon ko parhaaya aur mere shohar ne ghar banaya."
Samina Peerzada ka kehna tha:
"Shayad iski wajah yeh hai ke hum miyan biwi apna sab kuch aik dosray se share karte hain. Kabhi Usman ko meri zarurat pare ya mujhe Usman ki, tou hum dono aik dosray ke liye haazir rehte hain. Isi tarah agar kabhi Usman ki family ko bhi mere waqt aur madad ki zarurat ho tou main is ke liye tayyar hoti hoon."
Adakara ne mazeed kaha ke:
"Meri walida ko mere shohar aur unke sab damaadon ne phoolon ki tarah rakha. Saare damaad unka bohat khayal rakhte thay."