Cars mein chhupaye kuch aise interesting aur unusual features hote hain jo bohot se logon ko pata nahi hote."

 


Dunya bhar mein rozana karoron ya arabon afrad gaari par safar karte hain.

Magar hairan-kun tor par beʾshtar afrad ko gaari ke andar chhupe chand hairat-angez features ka maqsad hi maloom nahin hota.

Un mein se ek feature sooraj se tahaffuz faraham karne wale sun visor mein chhupa hai jo aankhon ke samne hota hai, magar phir bhi mutaʿaddid afrad ko is ka ilm nahin hota.

Kuch arse qabl TikTok par ek video viral hui thi jismein gaarion ke sun visor ke ek khufiya feature ke baare mein bataya gaya.

Sun visor ka istemaal sooraj ki tez roshni se aankhon aur chehre ko tahaffuz faraham karne ke liye kiya jata hai.

Yani isay bohat zyada istemaal kiya jata hai, magar phir bhi is ke ek feature ka ilm beʾshtar afrad ko nahin hota.

Aam tor par sun visor ko chehre ke samne neeche kiya jata hai, magar beʾshtar afrad ko ilm hi nahin ke agar windshield ki bajaye haath ke barabar mein maujood khidki se sooraj ki roshni aa rahi hai to sun visor us se bhi tahaffuz faraham kar sakta hai.

Ji haan, waqai front ke saath-saath sun visor se side se aane wali sooraj ki roshni ko bhi block kiya ja sakta hai.

Is ki wajah ye hai ke sun visor ko daayein ya baayen (driver seat mein daayein aur passenger seat mein baayen) janib ghumaana mumkin hai.

Is tarah khidki se aane wali sooraj ki roshni se moʾasser tahaffuz milta hai.

Sun visor ke istemaal se gaari ke andar darja-e-hararat ko bhi kisi had tak kam rakhne mein madad milti hai.

//