London Jane Wali Air India Ki Parwaz Ahmedabad Mein Crash Kar Gayi, "Kai Halak" – 242 Log Sawar Thy
Hawaii Hadse Ka Sansani Khez Waqia
Ahmedabad (12 June 2025):
Aik London jane wali Air India ki parwaz, jis mein 242 log sawar thy, Gujarat k sheher Ahmedabad k qareeb crash kar gayi. Ye hadsa take-off k chand minute baad hi hua. Bharatiya sehat k federal wazir ne tasdeeq ki k is hadse mein "kai log halak huy hain".
Doctors Hostel Par Plane Crash
Police k mutabiq, ye tayara aik rahaishi ilaqe mein, airport k qareeb, aik doctors' hostel par crash hua. Aik senior police officer ne media ko bataya k:
“Hum lagbhag 70% se 80% ilaqa clear kar chuke hain, aur baqi hisa jald clear kar liya jayega.”
Firefighters aur rescue teams moqa-e-waqia par pohanch chuki hain.
Flight Mein Kon Kon Sawar Tha?
Flight mein kul 242 log sawar thy, jis mein:
- 217 adults
- 11 bachay
- 169 Bharatiya shehri
- 53 British
- 7 Portuguese
- 1 Canadian
Air India ne tasdeeq ki k ye Boeing 787-8 Dreamliner tha — duniya k sab se jadeed passenger aircrafts mein se aik.
Mayday Call Aur Aakhri Rabta
Ahmedabad Airport k air traffic control k mutabiq, plane ne 1:39 p.m. (Indian waqt) par runway 23 se udaan bhari. Chand hi lamhon baad plane ne "Mayday" signal diya — jo k aik emergency ka ishara hota hai lekin is k baad kisi kisam ka koi rabta nahi ho saka.
Tracking site Flightradar24 ne bataya:
“Aircraft ka aakhri signal take-off k chand second baad hi mila tha.”
Aircraft ka registration number VT-ANB tha.
Aankhon Dekha Haal: Aag, Dhuwan, Aur Ambulance
TV channels aur social media par dikhai gayi footages mein dekha gaya k plane ne rehaishi ilaqy par se udaan bhari, aur phir achanak ghaib ho gaya us k baad aag ka shola aasman mein uthta hua dekha gaya.
Siyah Dhuwan, jali hua malba, aur logon ko stretchers par utha kar ambulances mein le jaya ja raha tha.
Bharat, UK Aur Boeing Ka Rad-e-Amal
UK ka Foreign Office: "Hum Bharatiya authorities k sath mil kar jald se jald haalaat ka jaiza le rahe hain aur madad faraham kar rahe hain."
PM Narendra Modi ne aviation ministry ko hidayat di k tamam imdadi koshishon mein taawun kiya jaye.
Boeing ne kaha k wo is hadse ki tafteesh mein Bharatiya authorities k sath taawun kar rahe hain. Boeing k shares pre-market trading mein 6.8% gir gaye.
Adani Group Aur Airport Halat
Ahmedabad Airport, jo k Adani Group k zair-e-intizam hai, ne tamam flights ko moattal kar diya hai.
Adani Group k chairman, Gautam Adani ne kaha:
“Ye aik afsoos naak waqia hai. Hum tamam mutasir khandaanon k sath kharay hain.”
Pichhla Bara Crash: 2020 Mein
Air India ka pichhla fatal crash 2020 mein hua tha, jab aik Air India Express ka Boeing-737 plane Kozhikode airport par runway se phisal kar wadi mein gir gaya tha. Is hadse mein 21 log jan bahaq huy thy.
Tata Group Ki Response
Air India ab Tata Group ki milkiyat hai. Tata ne kaha k aik emergency response center activate kar diya gaya hai aur mutasir khandaanon ko maloomat aur madad faraham ki ja rahi hai.
Agle chand ghanton mein mazeed tafseelat mutawaqeh hain. Allah sab ko apni hifazat mein rakhy.