Mental Health Awareness - Zehni Sehat Ki Ahmiyat


Aaj kal k masroof aur tez lifestyle mein log aksar apni zehni sehat (mental health) ko nazarandaz kar dete hain. Lekin jaise jisam ki sehat zaroori hai, waise hi zehni sehat bhi ek healthy zindagi k liye bohot ahmiyat rakhti hai.


Zehni Sehat Kya Hai?


Zehni sehat ka matlab hai aapka emotional, psychological aur social well-being. Yeh tay karti hai k aap kaise sochtay hain, mehsoos kartay hain aur mushkil halat ka samna kaise kartay hain. Achi zehni sehat se banda behtar faislay kar sakta hai, behtar rishtay nibha sakta hai aur zindagi mein productive ho sakta hai.


Zehni Sehat Ko Asar Dene Walay Factors

  • Zehni stress (job, studies, family pressure)

  • Trauma (childhood trauma, accident, abuse)

  • Genetic factors (agar family history mein mental illness ho)

  • Substance abuse (nasha waghaira)

  • Loneliness (akela rehna, social isolation)


Common Mental Health Issues

  • Depression – udaasi, interest ka loss, negative thoughts

  • Anxiety – har waqt ghabrahat ya dar

  • Panic attacks – achanak se breathlessness ya heart rate barhna

  • Bipolar disorder – mood swings

PTSD (Post-Traumatic Stress Disorder) – kisi traumatic experience ke baad stress

Signs K Jab Aap Ko Help Lenay Ki Zarurat HaiHar waqt udaasi mehsoos karna

  • Neend mein maslay

  • Har cheez se interest khatam ho jana

  • Zindagi be-maqsad lagna

  • Apne aap ko nuqsan pohanchanay ka khayal


//