Meta ne Oakley k Sath Milkar $399 k Naye Smart Glasses Launch Kar Diye – 3K Video Recording aur AI Features k Sath
Meta ne aik bar phir wearable technology ki duniya mein dhamaka kar diya hai. Is dafa unhon ne Oakley k collaboration se naye smart glasses launch kiye hain jo na sirf stylish hain, balkay zabardast features k sath bhi aate hain. In glasses ka naam Oakley HSTN hai, aur in ki qeemat $399 rakhi gayi hai. Sab se khas baat ye hai k ye glasses 3K video recording, AI-based features, aur hands-free usage k liye design kiye gaye hain lekin in mein koi traditional screen nahi hoti.
Ye glasses khas tor par athletes aur un logon k liye banaye gaye hain jo zyada active lifestyle rakhte hain. Running, cycling, hiking, ya kisi bhi outdoor activity k dauran, ye smart glasses bina hath lagaye kai kaam anjaam de sakte hain jaise k voice-controlled calls lena, music sunna, ya AI assistant se real-time madad lena.
Oakley HSTN – Behtareen Upgrades k Sath
Naye model Oakley HSTN mein kai aham upgrades kiye gaye hain:
- Behtar battery life: Full charge par taqreeban 8 ghantay tak chalne ki salahiyat.
- Water-resistant design: Har mosam mein istamal k layak.
- Smart voice control features: Aap sirf apni awaaz se commands de kar calls le sakte hain, music chala sakte hain, ya kisi sawal ka jawab le sakte hain screen ki zarurat nahi.
- 3K video recording: Aala quality mein video record karna ab asaan ho gaya hai, chahe aap chal rahe hon ya kisi adventure par hon.
Limited Edition – Gold Touch k Sath
Meta ne in glasses ka aik special limited edition bhi announce kiya hai jinki qeemat $499 hogi. Is version mein gold detailing shamil hogi jo ise aik premium aur classy look deti hai. Pehle ye limited edition launch hoga, uske baad mukhtalif colors aur lenses wale aur styles bhi market mein laye jayenge.
Meta ka Smart Wearables Mein Agla Qadam
Pehle Meta ne Ray-Ban k sath mil kar smart glasses launch kiye thy. Ab Oakley k sath mil kar Meta ne sports aur performance wear ki market mein bhi kadam rakh diya hai. Oakley aik mashhoor brand hai jo sporty aur high-performance products k liye jaana jata hai aur Meta ka unke sath partnership karna is baat ka saboot hai k wo apne wearables products ko serious tor par aage le jaa rahe hain.
Meta ka kehna hai k ye to sirf shuruaat hai. Aane wale waqt mein wo aur bhi advanced AR glasses launch karne ka plan bana rahe hain, jis mein aur bhi zyada AI features shamil honge. In smart glasses k zariye Meta ne aik aise future ki buniyad rakh di hai jahan technology, fashion, aur functionality aik saath chalte hain bina kisi smartphone ya screen k.
Ye launch Meta ki wearable technology ki duniya mein barhti hui position ko mazboot banata hai. Oakley HSTN smart glasses un logon k liye design kiye gaye hain jo har waqt chal phir rahe hote hain, lekin chahte hain k unka raabta technology se bana rahe hands-free, stylish, aur smart tareeqay se.