Pakistan k Teen Baray Airports par E-Gates Lagane ka Faisla – Lahore, Islamabad, aur Karachi mein Musafiron k liye Naya Asani ka Qadam
Pakistan ne air travel ko behtar banane k liye aik aham qadam uthaya hai. Ab mulk k teen masroof tareen airports Lahore, Islamabad, aur Karachi par e-gates install kiye ja rahe hain. Ye project musafiron k liye immigration ka process zyada tez, aasan, aur efficient banane k liye tayar kiya gaya hai.
Pakistan Airports Authority (PAA) ne is project ka basic design finalize kar liya hai. E-gates ka matlab hai k musafiron ko ab zyada dair immigration counters par line mein lag kar wait nahi karna padega. In gates ki madad se modern technology k zariye check-in aur exit ka system automated ho jayega, jo k waqt ki bachat aur convenience dono ka sabab banega.
Kuch din pehle, Germany se aik team of experts Pakistan aayi thi, jinhon ne is project k silsile mein aik teen din ka workshop conduct kiya. Workshop k dauran, German mahireen ne Pakistani officials k sath meetings ki, aur mukhtalif ideas aur tajurbaat share kiye. Unki input ne design aur future planning mein aik aham kirdar ada kiya hai.
PAA ka kehna hai k is naye system se Pakistan k airports ki facilities international standards k barabar ho jayengi. Is waqt project par kaam karne wale consultants mukammal lagan k sath kaam kar rahe hain, aur sab kuch mutasir kun tor par plan k mutabiq agay barh raha hai.
Ye bhi zaroori hai k log jaan len k jo tasveer e-gates ki dikhai ja rahi hai, wo AI-generated hai, aur sirf aik andaza dene k liye banai gayi hai asal design thoda mukhtalif ho sakta hai.
Ye project sirf aik technology ka izafa nahi, balke Pakistan k airport system ko aik naye dor mein dakhil karne ka pehla qadam hai. Jab ye e-gates mukammal tor par install ho jayenge, to ye na sirf musafiron k liye suhulat banenge, balkay Pakistan ki global image bhi behtar hogi.