PM Digital Youth Hub – Pehle Mahine Mein 422,000 Se Zyada Sign-Ups!


Pakistan k Prime Minister ka Digital Youth Hub initiative apne launch k sirf pehle mahine mein hi 422,000 se zyada sign-ups hasil kar chuka hai. Ye baat Profit by Pakistan Today ki ek report mein samne aayi hai, jo ye dikhati hai k naujawano mein digital skills aur online earning opportunities k liye kafi zyada jazba paaya jata hai.


Kya Hai Digital Youth Hub?


Digital Youth Hub aik online platform hai jo Pakistan k naujawano ko skills training, remote jobs aur entrepreneurship k mauqe faraham karta hai. Iska maqsad hai ke students aur graduates ko sirf roti rozi nahi, balkay aik mustaqbil ka rasta dikhaya jaaye.


Hub Ka Mission

Digital Skills Training: IT, freelancing, graphic designing, aur e-commerce jaise fields mein courses


  • Remote Job Matching: Talent ko global employers se connect karna

  • Startup Support: Apna business start karne k liye tools aur guidance

  • Mentorship Programs: Experts se direct mashwaray aur learning


PM Ka Bayan


Prime Minister ne kaha:


"Humari koshish hai k Pakistan ka naujawan cash se digital economy ki taraf aaye hum digital payments ko cash se bhi sasta banayenge."


Ye bayan is baat ka saboot hai k sarkar sirf statements nahi, balkay action le rahi hai taake Pakistan ka youth digitally empowered ho.


Kya Ye Naujawano ke Liye Mauqa Hai?


Bilkul! Agar aap student hain, ya fresher job dhoond rahe hain, ya apna kuch karna chahte hain, to ye platform aap k liye hai.

Aap yahan se skills seekh kar ghar baithe kamai bhi kar sakte hain aur future secure bana sakte hain.


Aage Kya Hoga?

  • Nai categories aur courses add kiye jaenge

  • Mobile app launch hone ki umeed hai

  • Mentors aur international companies se partnerships


Pakistan ka future aapke haath mein hai aur ye haath ab digital honay chahiye!


//