'Sardaar Ji 3' Ne Pakistan Mein Box Office Ka Record Tor Diya – India Mein Boycott Kay Bawajood Shandar Kamiyabi
Punjabi film Sardaar Ji 3 ne political tensions aur India mein boycott ki calls kay bawajood Pakistan mein naye box office records qaim kar diye hain. Ye film ab tak kisi bhi Indian film ki taraf se Pakistan mein sab se zyada opening-day earnings hasil karne wali film ban gayi hai.
Film 27 June 2025 ko sirf overseas markets mein release hui thi, jis mein Pakistan bhi shamil hai. Industry reports kay mutabiq, Sardaar Ji 3 ne pehle din lagbhag Rs 4.5 crore ka business kiya. Ye film India mein release nahi hui, kyunki April 22 kay Pahalgam terror attack kay baad dono mumalik kay darmiyan taluqaat kafi kharab ho gaye thy.
Film mein lead role Neeru Bajwa ne ada kiya hai, jab kay kahani aik supernatural theme par mabni hai. Sardaar Ji 3 ne Salman Khan ki 2016 ki hit film Sultan ka Pakistan mein sab se badi opening ka record tod diya hai.
Ye kamyabi us waqt aayi hai jab Pakistan ka cinema sector mehangai, Bollywood films par pabandi, aur kai theatres kay band hone ki wajah se mushkil waqt se guzar raha hai.
Film ne khaas kar Punjab kay shehri ilaqon mein zabardast performance dikhai, jahan logon mein Hania Aamir kay casting controversy aur India mein hone wali siyasi tanqeedi halchal kay sabab se film dekhne ka shiddat se shauq paya gaya.
Producer Gunbir Singh Sidhu ne aik Indian news channel se guftagu karte huy kaha kay Sardaar Ji 3 ne overseas mein to achi kamai ki hai, lekin India mein release na hone ki wajah se film ko takreeban 40 percent revenue ka nuksan hua hai.
Is kay bawajood, film ki kamyabi ko sabit kar diya hai kay acha content aur awaam ki dilchaspi political boundaries se balatar ho sakti hai.