Turkey Mein Zalzala: 1 Halakat, 69 Afraad Zakhmi

 

Aaj subah Turkey kay mashhoor resort shehar Marmaris mein 5.8 magnitude ka shadid zalzala aaya, jis kay natije mein 1 shaks jan se gaya aur 69 log zakhmi huy.

Disaster and Emergency Management Presidency (AFAD) kay mutabik, zalzala Baheerah Rom mein subah 2:17 bajy aya. Is ka markaz Marmaris kay sahil se 10 kilometre door tha. Zalzala itna shadid tha kay logon ki neend khul gayi, hatta kay Greece kay jazire Rhodes mein bhi log mehsoos kar sake.

Turkey kay Interior Minister Ali Yerlikaya ne kaha kay Mugla province mein log afra tafree mein gharon se nikal kar bhag gaye. Kuch log itne ghabra gaye kay unhon ne unchai se jump laga di. In mein se aik 14 saal ki larki Afranur Gunlu panic attack kay baad hospital le jayi gayi lekin jaan na bach saki.

Unho ne bataya kay 70 mein se 14 logon ka ilaaj site par kiya gaya, 8 log choti moti choton kay baad ghar bhej diye gaye, jab kay 46 log hospital mein zair-e-ilaaj hain.

Mugla province mein Marmaris, Bodrum aur Fethiye jese maqbool samundari resort shehar shamil hain, jahan sirf 2024 mein 3.7 million foreign tourists aaye. Zalzala Greece kay Dodecanese jazair mein bhi mehsoos kiya gaya, jahan Rhodes kay kuch hotels mein ankhala ki zarurat pesh aayi, lekin kisi chot ya nuqsan ki report nahi mili.

Misr (Egypt) kay National Research Institute of Astronomy and Geophysics ne bhi is zalzale ko mehsoos kiya gaya bataya hai.


//