Naye Tax Iqdamat Se E-Commerce Sector Mushkilat Ka Shikar

 Pakistan ki e-commerce industry ko 2025 k Finance Act k tahat naye taxes ne kafi nuqsan pohanchaya hai. Industry experts ka kehna hai k 2% withholding tax aur 2% sales tax jo Cash on Delivery (COD) shipments par lagaya gaya hai, us se logistics ki lagat mein kafi izafa ho gaya hai. Yeh taxes ab courier companies k zariye ikattha kiye ja rahe hain, jinhain Federal Board of Revenue (FBR) ne tax collection agents bana diya hai. Courier companies ab yeh taxes seedha sellers k invoices se kaat kar jama kar rahi hain, jis se khas tor par choti aur darmiyani businesses (SMEs) par bojh pada hai jo zyadatar apna karobar COD par chala rahe hain.

Pakistan E-commerce Association (PEA) k chairman Omer Mubeen ne kaha k yeh naye tax qawaneen profit margins ko kam kar denge, customer prices barh jayengi, aur choti online businesses band hone ka khatra barh jayega. Unhon ne tajwez di k registered sellers k liye sirf 0.25% ka nominal income tax lagaya jaye aur unhe registration k liye aik grace period diya jaye.

Courier companies ne ab sellers ko tax authorities k sath register karne ka kehna shuru kar diya hai. Halaanke, jo home-based aur aik dafa ka karobar karne wali sellers hain khaas kar khawateen unhe naye qanoon k tahat istasna diya gaya hai. Magar naye entrepreneurs aur students ka kehna hai k yeh regulations mushkil aur mehngi hain. Lahore k aik seller Usman Akhtar ne policy ko “discouraging” qarar diya aur hukumat se guzarish ki k kam az kam agle paanch saalon tak in taxes ko wapas le kar digital growth ko support kiya jaye.

Pakistan ki e-commerce industry har saal 35% se zyada grow kar rahi thi jo 10 lakh se zyada logon aur 1 lakh se zyada choti businesses ko support karti hai. Rs2.2 trillion k is market mein 90% karobar COD par mabni hai. Experts ka kehna hai k agar suni sochi reforms na laayi gayi to Pakistan digital commerce mein apne humsayon se peeche reh jayega.