American actor Noah Schnapp, jo k Netflix k sci-fi superhit show Stranger Things mein Will Byers ka kirdar ada karte hain, ne fans ko agha kiya hai k show ka aakhri season intehai jazbaati hoga aur dekhne walay aansuon mein bheeg jaayenge.
Noah Schnapp ne aik naye interview mein is baat ka izhar kiya k season 5, jo k show ka final chapter hoga, sab se zyada emotional experience raha hai cast k liye. “Yeh ab tak ka sab se bara, sab se personal, aur sab se heartfelt kaam hai jo humne kiya hai,” Noah ne bataya. “Pehla din set par aam dinon jaisa tha, lekin aakhri din set par sab se zyada deewana tha. Woh din mein kabhi nahi bhool sakta bohat hi udaas aur sath hi sath perfect tha.”
Jab unse poocha gaya k aakhri din kis cast member ne sab se zyada roya, to Noah ne hans kar kaha, “Shayad mein. Mein thoda sensitive hoon. Lekin asal mein sab ro rahe thy. Hum sab aik dosre se mohabbat karte hain, to alvida kehna asaan nahi tha.”
Noah ne ye bhi kaha k unhein season ki ending ko le kar pehle kuch nervousness thi, lekin ab woh final outcome se bohat khush hain. “Mujhe ghabrahat ho rahi thi k end kaisa hoga, lekin ab mein bohat satisfied hoon,” unka kehna tha.
Yeh bhi yaad rahe k Stranger Things, jo k July 2016 mein pehli baar Netflix par stream hua tha, streaming platform ka sab se zyada dekha gaya English language show ban gaya tha.
Aakhri season, jo kaafi arsay se delay ho chuka tha, ab akhirkar is saal k end mein release ho raha hai. Final season k total 8 episodes hain jo teen parts mein release honge:
- Pehle 4 episodes 26 November ko stream honge
- Agle 3 episodes 25 December ko
- Aur series ka grand finale, jiska title hai The Rightside Up, 31 December ko Netflix par stream kiya jaayega.
Fans ko tayar rehna chahiye yeh alvida asal mein bohat hi aansuon bhara hoga.