India ne aik tareekhi qanoon introduce kiya hai jiska maqsad online gambling ko rokna hai. Reports kay mutabiq, lagbhag 450 million log har saal $2.3 billion ka nuqsaan utha rahe thy gambling apps par.
Naya qanoon, jiska naam hai "Promotion and Regulation of Online Gaming Bill", kehta hai kay ab gambling apps chalana, promote karna ya inhein fund karna ghair-qanooni hai. Jo log is qanoon ki khilaf warzi karenge, unhein 5 saal tak ki saza aur bhaari jurmana ho sakta hai.
Gambling Ka Asar Aur Wajah-e-Pabandi
Ye faisla un badhti hui fikron kay baad liya gaya hai jahan online gambling ne individuals aur unke ghar walon par negative asar daala hai. Log poker, card games aur fantasy sports jaise apps par apne paisay khone lage thy.
Cricket fantasy apps, jo India mein kaafi popular ho chuki thi, wo bhi is ban ka hissa hain.
Hukoomat ka kehna hai kay ye sirf gambling rokne ka qadam nahi, balkay logon ko financial aur social nuqsaan se bachane ka bhi aik tareeqa hai. Gambling addiction ka taalluq karzon, stress aur gharailu masail se joda gaya hai, jo mulk bhar mein aik badi samaji pareshani ban chuki thi.
Skill-Based Gaming Ka Raasta Abhi Bhi Khula Hai
Is naye bill kay zariye gambling apps par to pabandi laga di gayi hai lekin skill-based aur safe gaming platforms kay liye raasta khula rakha gaya hai lekin strict rules kay sath.
Authorities ka maanna hai kay is qanoon se aik healthy aur responsible digital gaming environment create hoga.
Hukoomat Ka Sakht Aur Wazeh Paighaam
Is qadam se India ne online gambling kay khilaf aik mazboot aur wazeh stand le liya hai. Ye faisla sirf qanooni nahi balkay awami bhalai kay liye bhi bohat aham hai.
Umeed ki ja rahi hai kay is ban kay baad laakhon families ko raahat milegi aur online gaming industry ka mustaqbil bhi naye tareeqay se shape hoga.
"Gambling nahi, responsible gaming ka daur shuru!"