Mashhoor Cheeni adakara Zhao Lusi ne media industry kay un pehluon ko ujagar kiya hai jo aam tor par logo se chhupaye jate hain. Sina kay mutabiq, Zhao ne social media par apne jazbaat ka izhar karty huy bataya kay woh kabhi apne hi colleagues kay haathon physically tashaddud ka shikar hui aur unhein “ziyada moti” keh kar zaleel kiya gaya.
Zhao Lusi, jo guzishta aath maheenon se kisi film ya TV project mein nazar nahi aayi unho ne kaha kay woh aik pur-sukoon zindagi chahti hain jahan dabao kam ho. Unhon ne yeh bhi bataya kay abhi unka apne talent agency Galaxy Cool Entertainment kay sath 2 saal ka contract baqi hai. Agar woh yeh contract khatam karti hain to un par case ho sakta hai aur unhein bhaari harjana bharna pad sakta hai.
Zhao ne showbiz ki “ghutan bhari” zindagi kay baare mein bhi bataya. 2019 se pehle jab unhein log zyada nahi jaante thy, woh audition par audition deti rahi lekin baar baar naakaami ka samna karna para. Is dauraan unka apna management staff bhi un se nafrat bhara rawayya rakhta tha.
Aik waqiye mein jab aik audition fail hua, to unhein bathroom mein le jaakar 3 ghantay tak daanta gaya aur beizzati ki gayi. Unhein “bekaar” aur “bohat moti” keh kar zaleel kiya gaya. Jab woh shaam 4 baje wahan se nikalne lagi to aik staff member ne unke baalon se pakar kar cheekh cheekh kay thappar maaray. Zhao us waqt itni nayi thi kay chup rahi. Baad mein company ne is harkat ko sirf “sharab kay nashay mein kiya gaya amal” keh kar taal diya aur kisi ko saza nahi mili.
Is haadse kay baad, Zhao chup ho gayi aur kisi se kuch kehne se dartein rahi. 2019 kay baad unka career chal pada aur woh China ki top actresses mein shamil ho gayi. Unhon ne kai hit dramas mein lead role kiya aur unhein “goddess of youth” aur “costume drama doll” kay laqab mile.
Lekin is kamyabi kay bawajood Zhao Lusi ne neend ki kami, bhookh mein kami, depression aur dissociative disorder ka samna kiya aik aisi mental health condition jo insaan kay jazbaat, soch aur haqeeqat kay ehsaas ko mutasir karti hai.
2024 kay aakhir mein jab woh drama "Almost Lover" ki shooting kar rahi thin to unhein mental aur physical thakan ki wajah se hospital mein admit karna para. Us waqt unki company ne kaha tha kay woh Zhao kay sath mil kar maslay hal karna chahti hai. Aik representative ne kaha: “Hum apni taraf se hui ghaltiyon par maafi chahty hain aur mamlay ka jaiza le rahe hain.”
Lekin Zhao kay mutabiq, Galaxy Cool Entertainment ne ab unhein “blacklist” kar diya hai jisse unka career ruk gaya hai.
Jab kay company ka kehna hai kay unhon ne apne tamam ikhlaqi aur qanooni farz ada kiye hain aur unhon ne kisi bhi qanoon ya contract ki khilaaf warzi nahi ki. Company ka mashwara hai kay Zhao baith kar negotiations kay zariye masla hal karein.
Social media par laakho fans ne Zhao Lusi ka saath diya hai aur unhein mashwara diya hai kay woh apne legal rights ka tahaffuz karein. Halankeh kuch logon ka kehna hai kay is approach se unki public image aur career khatray mein pad sakta hai.
Zhao, jo ab 28 saal ki hain unho ne apna acting career 2017 mein shuru kiya tha aur unhein "The Romance of Tiger and Rose," "Dating in the Kitchen," "Love Better Than Immortality," "Love Like the Galaxy," aur "Hidden Love" jaise dramas mein lead roles ne shohrat dilayi.