Hajj 2026 Govt Scheme Flooded with 114,500 Applications — Apply Now

 Ministry of Religious Affairs and Interfaith Harmony ne Monday kay din bataya kay Hajj Scheme 2026 kay liye ab tak 1,14,500 se zyada log apni applications jama kar chuke hain. Sirf 3,500 seats abhi baaqi hain aur ye quota jald hi mukammal hone ki umeed hai.

Ministry kay spokesman Muhammad Umar Butt ne kaha kay mukarrar bankon mein applications us waqt tak accept ki jaayengi jab tak quota complete nahi ho jata. Unho ne logon se guzaarish ki kay agar wo apply karna chahte hain to foran kareebi nominated bank branch mein form jama karwain warna baad mein moka nahi milega.

Unho ne yeh bhi wazeh kiya kay jaise hi baaqi seats bhar jaayengi, application process foran band kar diya jaayega aur kisi bhi surat mein mazeed forms qabool nahi kiye jaayenge.

Hukoomati afraad ka kehna hai kay itni zyada applications ana yeh sabit karta hai kay log Hajj ada karne kay liye kitne purjosh hain. Iss dafa logon ka response intehai zabardast raha hai jo kay record tor numbers mein hai.

Government Hajj Scheme 2026 kay do packages hain:

  • Long Package: 38 se 42 din ka
  • Short Package: 20 se 25 din ka
  • In packages ki cost Rs. 11.5 lakh se Rs. 12.5 lakh tak hai

Applicants ko apply karty waqt Rs. 5 lakh se Rs. 5.5 lakh tak ka initial deposit dena hota hai. Baaqi raqam 1st November se collect ki jaayegi.

Ab jab kay seats bohat kam reh gayi hain, Ministry ne logo se kaha hai kay wo der na karein aur foran apply karein. Unho ne yeh bhi yaqeen dilaya kay tamam process nominated banks kay zariye smooth tor par chal raha hai, taake applicants ko kisi qisam ki mushkil ka samna na ho.

Agar aap Hajj 2026 ka irada rakhty hain to foran action len moka haath se na jane dein.


Previous Post Next Post
⚠️ WELLCOME TO MY AFFAILIATE SHOP JUST CLICK.
👉 LATEST DEALS DEKHEIN