Is Temu Getting Banned in Pakistan? Here’s What You Need to Know


 Pakistan mein online shopping ka future aik naye mor par aa gaya hai, kiyun kay mashhoor shopping app Temu regulators kay radar par aa gayi hai. Officials ne tasdeeq ki hai kay Temu kay business tariqon aur uske asraat ka jaiza liya ja raha hai khas kar kay local consumers aur sellers par is kay effects.

Yeh inquiry Competition Commission of Pakistan (CCP) ki taraf se shuru ki gayi hai, jinhon ne Temu kay kaam karne kay tareeqon par concerns uthaye hain.

Complaints aur Issues

CCP ko kai complaints mili hain jin mein yeh masail samne aaye hain:

  • Products ki quality par shak
  • Nakli ya recycled cheezon ki farokht
  • Limited return policy
  • Reliable payment options jaise kay cash on delivery ka na hona
  • Local e-commerce businesses ka customers kho dena Temu ki aggressive marketing ki wajah se

PTA Ka Moqaf aur Aindah Ka Action

Hal filhal mein PTA ne koi official ban ya restriction announce nahi ki lekin authorities is baat ka gahraai se jaiza le rahe hain kay kya Temu local qawaneen par pura utar raha hai ya nahi.

Aik aur international app Shein bhi review mein hai lekin officials kay kehne kay mutabiq Shein kay khilaf complaints kaafi kam hain muqable mein.

Ban Hoga Ya Nahi?

Abhi tak hukoomat ne kisi final ban ka elan nahi kiya. Yeh faisla relevant institutions kay darmiyan mashwara aur consultation kay baad kiya jayega. Agle kuch dino mein is silsile mein koi official update aanay ki umeed hai.

Tab tak, Pakistan kay laakho online shoppers intizaar mein hain kay kya Temu Pakistan mein available rahega ya ban ka samna karega.


Previous Post Next Post
⚠️ WELLCOME TO MY AFFAILIATE SHOP JUST CLICK.
👉 LATEST DEALS DEKHEIN