2024-25 Mein Pakistanion Ne Foreign Online Platforms Par 317 Arab Rupay Se Zyada Kharch Kar Diye
Federal Board of Revenue (FBR) ne National Assembly ki Standing Committee on Finance ko ittila di hai k 2024-25 k maali saal k dauran Pakistanion ne mukhtalif foreign tech companies k online platforms par 317 arab rupay se zyada kharch kiye. Is arsay k dauran 4 crore 26 lakh se zyada transactions record ki gayi hain.
FBR k Chairman, Rashid Mahmood Langrial ne committee k samne data pesh kiya jis mein Meta, Apple, Google, AliExpress, Temu aur Netflix jaise platforms ka zikar tha, jin par Pakistani sarfin ne kafi zyada paisa kharch kiya.
Meta ne sab se zyada Rs12.3 arab ki transaction value hasil ki, jab k Apple ne 51 lakh transactions k zariye Rs6 arab kamaye.
Google ne 23 lakh transactions mein Rs5.94 arab hasil kiye. AliExpress par 9.44 lakh transactions hui jinki total value Rs4.9 arab thi. Temu ne 3.77 lakh k qareeb purchases se Rs1.8 arab kamaye.
Netflix ne 33.7 lakh transactions k zariye Rs2.79 arab hasil kiye.
FBR ne ye bhi bataya k dusre chhote bare platforms par 2.86 crore transactions hui jinki total value Rs281.4 arab thi.
Digital economy ko regulate karne k liye, FBR ne "Digital Presence Proceeds Levy Act, 2025" ka tajwez diya hai. Is Act k tehat un tamam foreign vendors par 5% income tax lagaya jayega jo Pakistan mein digitally goods aur services faraham kar rahe hain.
Ye tax banks aur financial institutions k zariye tab vasool kiya jayega jab Pakistani sarfin kisi foreign platform ko payment karein. Committee ne is Act ka jaiza lene k baad chand chhoti tabdilion k sath iski manzoori ki sifarish ki hai.
Is k ilawa, committee ne Islamabad Capital Territory (Tax on Services) Ordinance, 2001 aur Income Tax Ordinance, 2001 mein bhi chand tarmeemaat ka jaiza liya. Mukammal behas k baad in dono ko bhi manzoori k liye recommend kiya gaya hai. Ijlaas mein kai MNAs aur senior finance officials ne shirkat ki.