Khyber Pakhtunkhwa Mein Musalsal Barishon Se 6 Afraad Jaan Bahak, PDMA Ka Emergency Alert Jaari

 

Peshawar Itwar k din Provincial Disaster Management Authority (PDMA) ki taraf se jaari karda report k mutabiq, Khyber Pakhtunkhwa k mukhtalif ilaqon mein musalsal aur shiddat bhari barishon k natije mein kam az kam 6 afraad apni jaan se haath dho baithe, jab k 5 log zakhmi huy hain.

Ye afsosnak waqiat Mansehra, Buner, Lower Dir, Upper Dir, Kohistan aur Malakand k ilaqon mein pesh aaye, jahan Jumma se le kar ab tak moosla dhaar barish, bijli girne aur tez hawaon ne qehar dhaya hua hai. In tabahi khez barishon ne na sirf insani zindagiyon ka nuqsan kiya balki kayi ilaqon mein maal o asbaab aur imlaak ko bhi shadeed nuqsan pohanchaya hai.

PDMA ki report k mutabiq, barish k is silsile k doran 7 ghar mutasir huy hain. In mein se 5 makanon k hisse tote hain jab k 2 makan mukammal taur par tabah ho chuke hain. In makanon ki tabahi k natije mein kayi gharane beghar ho gaye hain jo filhal shelter aur madad k mohtaj hain.

PDMA ne local intizamiya ko hidayat di hai k wo foran relief operations ka aghaz karen aur zakhmi afraad ko behtareen tibi imdad faraham karen. Rescue teams ko mutasir ilaqon mein bhej diya gaya hai jo bar waqt madad aur nuqsan ka jaiza le rahe hain.

Iske ilawa, PDMA ne tasdeeq ki hai k unka Emergency Operations Center mukammal tor par faal hai aur kisi bhi emergency ya nuqsan ki ittila dene k liye awaam ko helpline number 1700 par rabta karne ki hidayat di gayi hai.

Mausam ka ye pur-asar nizaam ab bhi Khyber Pakhtunkhwa k mukhtalif ilaqon mein asar andaz hai, jis k bawajood hukmranon ne awaam se guzarish ki hai k wo hoshiyar rahen, be-zarurat safar se parhez karen, khaas kar un ilaqon mein jo landslides aur saylabi soorat-e-haal ka shikar ho sakte hain. Awaam se ye bhi kaha gaya hai k wo rescue aur relief teams k sath mukammal taawun karen taake kisi baray nuqsan se bachaya ja sake.

PDMA aur hukumat ki taraf se bar bar ye appeal ki ja rahi hai k mosam ki surat-e-haal ka bar waqt jaiza lene k liye awaami rujhanat, radio aur TV k zariye updates hasil ki jayein, aur kisi bhi emergency ki surat mein foran hukamranon ko mutaliq kiya jaye.

Ye mosam Khyber Pakhtunkhwa k rehne walon k liye aik badi aazmaish hai, lekin bar waqt iqdamat aur awaam ka taawun is mushkil waqt mein zindagiyon ko bacha sakta hai.


//