Arshad Nadeem ka kamaal, Gumi mein Asian Athletics Championship ka gold medal jeet liya
Gumi, South Korea – 31 May: Pakistan k Olympic champion or javelin throw k sitaray Arshad Nadeem ne aik baar phir apni zabardast performance ka muzahira karty huy Asian Athletics Championship mein gold medal jeet liya. Unhon ne 86.40 meters ka shandar throw kar k mukabla jeet liya or tamashaaiyon ka dil jeet liya.
Mukable mein Sri Lanka ke Ramesh Thranga Pathirage ne 82.28 meters ki throw k saath pehle position hasil ki thi, lekin Nadeem ne apni aakhri throw mein sab ko peeche chhor diya. China k Ho Haoran ne apny season ka behtareen throw 80.93 meters kiya or third position hasil ki. India kay Yashveer Singh bhi 80.23 meters k throw k saath chothy number par rahe, halan k unke pehle do throws foul thay.
Nadeem ne final ka aghaz 75.64 meters aur 76.80 meters k mazboot throws k sath kiya. Pakistan k doosre thrower Yasir ne bhi achi performance dikhai, jinhon ne 70.53 meters aur 75.39 meters k throws kiye.
Qualification round mein bhi Arshad Nadeem ne sab ko hairaan kar diya tha jab unhon ne sirf aik throw mein 86.34 meters ka throw kar ke final k liye qualify kar liya. Yasir bhi 76.07 meters k throw k sath final mein pohanch gaye.
Final mein kamyabi k baad Arshad Nadeem ne Instagram par apny supporters ka shukriya ada kiya or kaha: " Hamesha, aapki duaon or support ki zarurat hai."
Yeh mukabla Arshad Nadeem k liye khaas tha kiyun k yeh unki Paris Olympics 2024 k baad pehli international appearance thi. Wahan unhon ne 92.97 meters ka Olympic record throw kar ke Pakistan ke liye pehla athletics gold medal jeeta tha.
Ab Nadeem World Athletics Championships ke liye September mein tayyari kar rahe hain aur jald hi England rawana honge training ke liye. Gumi mein jeet ne sabit kar diya ke woh ab bhi duniya ke top javelin throwers mein shamil hain, aur Pakistan ke liye fakhar ka sabab hain.