Rang Gora Karne Wale Products Ka Sach: Khoobsurti Ya Zehar?

 

Yaqeen karein ya na karein, rang gora karne wale products ab duniya ke aadhe se zyada cosmetics market par qabza kar chuke hain — aur in ki demand din-ba-din badhti ja rahi hai.

Duniya ki sabse badi market research company, Research and Markets, ke mutabiq yeh market 2023 mein 9 billion US dollars ki thi, aur 2030 tak yeh 13.3 billion dollars tak pohanch sakti hai.

🧪 Khoobsurti Ke Naam Par Zehreela Sach

Lekin is badhti hui sanat ke peeche ek khaufnaak aur zehreela sach chhupa hua hai. Rang gora karne ke liye, kai sanwali aur dark skin tone rakhne wali auratein aise nuksan deh tareeqe apna rahi hain jo unki sehat ke liye intehai khatarnaak ho sakta hai.

🌍 Eurocentric Khoobsurti Kay Mayarat Ka Asar

In masnoat ka istemal aksar is liye hota hai kyun ke logon par Eurocentric khoobsurti kay mayarat ka asar hai — yani safed rang ko khoobsurti ka mayaar samjha jata hai. Yeh soch logon ko majboor karti hai kay woh apni asliyat se hat kar rang gora karne ki koshish karen.

⚠️ Apki Skincare Mein Chhupe Zehreelay Ajza

Kai logon ko andaza bhi nahi hota ke unke rozana ki skincare products mein zehreelay chemicals chhupe hotay hain — jaise kay mercury, hydroquinone, aur steroids, jo lambay arsay kay liye istamaal karne par kidney failure, skin damage, aur hormonal imbalance tak ka sabab ban sakte hain.

👁️ Haqeeqat Dekhne Ka Waqt Hai

Kai auratein apne rang ko badalne ke liye khud ko nuqsan pohncha rahi hain — sirf is liye kay mashray ne unhein yeh bataya ke “gora hi khoobsurat hai.”

Lekin asli khoobsurti woh hoti hai jo har rang, har nasal, aur har shanakht mein chhupi hoti hai.


//