Ashura Ka Haqeeqi Maqsad: Tareekh, Roohaniyat Aur Imaan Ka Safar

 

بسم اللہ الرحمن الرحیم

Allah k naam se jo bara Meherban aur Nihayat Reham Karne Wala hai


Musa (A.S) aur Firon – Zulm k Khilaf Haq ki Fateh


Ashura k din ka aik bara waqia hazrat Musa (A.S) aur Bani Israel ka Firon k zulm se nijat paana hai. Hazrat Musa (A.S) ne Allah k hukum se apni qaum ko samandar k kinare tak le gaye, jahan Allah ne mojiza dikhaya aur samandar ko do hisso mein taqseem kar diya. Bani Israel salamat rahe jab k Firon aur uska lashkar garq ho gaya.


Qur’an (26:63-68):

“Aur humne Musa ko wahi ki: Apna asa samandar par maaro.” Samandar phat gaya, aur har hissa aik bade pahaar ki tarah ho gaya... Aur humne Musa ko aur unke saathiyon ko bacha liya. Phir doosron ko dobo diya. Yaqeenan is mein nishani hai, magar zyada log imaan nahi laate. Aur tumhara Rab Qudrat Wala, Rehmat karne wala hai.”


Ye waqia sirf aik tareekhi haadsa nahi balkay roohani toor par aik misaal hai k kaise Allah Ta'ala un logon ki madad karta hai jo us par bharosa rakhte hain. Ye mojza insaf aur azaadi ki jeet ki nishani hai. Ashura k din roza rakhna is yaad ko taza karta hai k Allah ki madad kabhi door nahi hoti sirf sabr aur yaqeen chahiye.


Hazrat Nuh (A.S) aur Toofan – Shukar aur Sabr ka Paighaam


Kuch rawayaat k mutabiq, Ashura ka din woh tha jab Hazrat Nuh (A.S) ka safina (kashti) Toofan k baad Mount Judi par thehar gaya. Ye rawayat kamzor samjhi jaati hai, lekin is mein aik aham sabaq chhupa hai.


Qur’an (11:40-44):

“Aur jab hamara hukum aaya aur tannur se paani ubal nikla, to hum ne farmaya: Har qisam k joday, apne ghar walon ko siwa un k jinke liye hukum ho chuka aur imaan walon ko kashti mein sawar kar lo… Kashti lehron k darmiyan chalti rahi jaise k woh lehrain paharon jaisi thi.”


Hazrat Nuh (A.S) ne sab kuch Allah par chhor diya. Unka sabr, tawakkul aur dawat-e-Haq unke kamzor saathiyon ko bhi najat dilane ka zariya bana. Ye waqia humein ye sabaq deta hai k jab sab kuch khilaf ho raha ho, Allah ki rehmat phir bhi mojud hoti hai.


Qur’an (31:40):

“Ye woh log hain jo kehte hain: 'Hamara Rab Allah hain' phir is par sabit qadam rehte hain. Farishte unpar nazil hote hain: ‘Na daro, na gham karo! Jannat ki khushkhabri lo jo tumse waada ki gayi thi.’”


Imam Hussain (R.A) ki Qurbani – Haq aur Imaan ki Buzurgi


Ashura ka sab se dukh bhara aur rooh par asar daalne wala waqia Karbala mein Imam Hussain (R.A) ki shahadat hai. Aap Nabi Muhammad (S.A.W) k pyare nawase thy, aur zulm k khilaf apne imaan par qaim rahe, chaahe us k liye jaan hi kyun na deni pade.


Ibn Taymiyyah – Minhaj as-Sunnah an-Nabawiyyah:

“Hussain Nabi k gharane k sab se maqbool afrad mein se hain. Unka sabr aur istiqamat tamam Musalmanon k liye misaal hai.”


Ashura ka din humein ye yaad dilata hai k sachayi kabhi zaya nahi hoti. Shahadat aik nuksaan nahi, balkay aik roohani kamyabi hai jahan martaba Allah k nazdeek bohat ooncha hota hai. Hussain (R.A) ka qadam insaniyat, insaaf aur deen k liye tha unka khoon sirf mitti par nahi gira, balkay har haq-parast k dil mein ilham ban gaya.


Ashura Ka Roza aur Roohani Tazgi


Ashura ka roza sirf aik sunnat nahi, balkay aik roohani safar hai. Ye humein sabaq deta hai k har mushkil waqt mein Allah ki madad paas hoti hai. Chahe samandar ka taqseem hona ho, toofan aana ho ya zulm ka samna ho Allah apne bande ko kabhi tanha nahi chhorta.


Dua hai k Ashura ka ye din hamare liye imaan mein izafa ka sabab bane, hamare dil saaf ho jayein, aur hum Allah ki rehmat k qareeb ho jaayein. Ameen.