Google ka Naya AI Tool – Ab Khaareedari Se Pehle Kapray Pehn Kar Dekhna Hua Aasaan

 


Socho agar aap kapray khareedne se pehle bina fitting room mein jaaye ye dekh sakhein k wo aap par kaise lagte hain, toh kaisa lagega? Yehi kaam ab Google k naye experimental mobile app Doppl ne mumkin bana diya hai.


Doppl aik aisa mobile app hai jo artificial intelligence (AI) ka istemal karta hai taake sarfin virtually yani farzi tor par kapray try kar saken. Ye app abhi sirf iOS aur Android sarfin k liye United States mein available hai. App ka tareeqa kaar ye hai k aap apni full body ki aik photo upload karte hain, aur Doppl us image ko aik digital version mein tabdeel kar deta hai. Is digital version k zariye aap mukhtalif outfits try kar sakte hain chahe wo kisi online store se ho, kisi fashion blog se, ya phir Instagram se li gayi aik screenshot hi kyun na ho.


Lekin Doppl sirf still images tak mehdood nahi hai. Ye app aik qadam aur aage jaata hai aur aapko short videos banakar dikhata hai jis mein aapke digital version par wo outfit move kar raha hota hai. Iska matlab ye hai k aap ye dekh sakte hain k kapra chalne phirne par kaise lagta hai, uska flow kaisa hai, ya fit kis tarah ka hai. Ye aik bohat bada step hai un apps k muqable mein jo sirf static images ya flat previews dikhate hain.


Sarfin is app mein apne favorite looks ko save bhi kar sakte hain, mukhtalif outfits ko compare kar sakte hain, aur apne pasandida styles doston k sath share bhi kar sakte hain. Ye aik fun aur kaam ka tareeqa hai fashion pasand karne walon k liye jo bina baar baar kapray khareed kar wapas bhejne k chakkar mein pare, apni pasand banaye rakhna chahtay hain.


Doppl, Google Labs ka hissa hai, aur ye app abhi testing phase mein hai. Google khud ye tasleem karta hai k app k results har dafa perfect nahi hotay khaas kar jab baat kapray k fit ya fabric k details ki ho. Magar phir bhi, ye AI ka istemal kar k shopping experience ko behtareen banane ki taraf aik bara qadam hai.