Behtar Posture Kay Liye 5 Asaan Tareeky

 

1. 🧍‍♀️ Seedha Khare Aur Baithain

Hamesha apni reedh ki haddi ko seedha rakhen. Na zyada jhuk kar khare hon, na hi kursi mein dhans kar baithen.

2. 💻 Screen Aankhon Ke Samne Rakhen


Computer ya mobile screen aisi jagah rakhe kay aankhon ke barabar ho — jhuk kar dekhna gardan aur peeth ke liye nuksan de hai.

3. 🪑 Ergonomic Kursi Ka Istemal Karen

Aisi kursi istemal karen jo peeth ke niche ko support kare. Agar aisi kursi nahi hai, to ek chhota cushion peeche rakh len.

4. ⏰ Har 30 Minute Baad Break Len

Lambi der tak aik hi position mein na baithen. Har 30-40 minute baad uth kar thoda chalna ya stretching karna posture behtar karta hai.

5. 🏋️‍♀️ Core Muscles Ko Mazboot Banaye


Rozana warzish karen — khaas kar woh jo aapke core (pet aur kamar ke aas paas ke muscles) ko mazboot banaye. Jaise plank, yoga, ya light stretching.


//