Bharat Mein COVID-19 Se 4 Nayi Amwat, Active Cases Taqreeban 4,000 Tak Pohnch Gaye

 

Bharat mein filhaal active COVID-19 cases ki tadad 3,961 ho gayi hai, Ministry of Health and Family Welfare kay mutabiq, ye data subha 8 baje, Monday, 2 June ko jari kiya gaya.

January 2025 se ab tak COVID-19 kay kul amwat ki tadad 32 ho chuki hai, jis mein sirf Sunday kay baad se 4 nayi amwat report hui hain. Sarkari data kay mutabiq, Sunday kay baad se 203 naye cases active case shumar mein shamil kiye gaye.

Delhi, Tamil Nadu, Maharashtra, or Kerala ne aik-aik COVID-19 amwat report ki hai. Delhi mein 47 naye COVID-19 cases report hue hain, jisse wahan kay total active cases 483 tak pohnch gaye hain.

Kerala mein 35 naye cases kay sath active cases ki tadad 1,435 ho gayi hai. Maharashtra ne 21 naye cases report kiye, jisse wahan ka active case shumar 506 ho gaya. West Bengal mein 44 naye COVID-19 cases aaye, jisse wahan kay active cases 331 ho gaye hain.

Friday kay din, Union Minister of State for Health and AYUSH (Independent Charge), Prataprao Jadhav ne kaha kay Markazi hukumat kisi bhi surat-e-haal se nipatne kay liye tayyar hai.

Unka kehna tha, "Hamari Central Health Department or AYUSH Ministry poori tarah se alert hai or tamam riyasaton mein surat-e-haal ka gehra jaiza le rahi hai. Humne tamaam Health or AYUSH Secretaries se, or doosre mutaliqa wuzara se baat ki hai."

Unho ne ye bhi kaha kay pichli COVID-19 waves kay dauran jo infrastructure banaya gaya tha — jaise oxygen plants or ICU beds — uska review kar liya gaya hai or tayaariyan shuru kar di gayi hain. "Hamare health systems poori tarah se tayyar hain or kisi bhi imkani surat-e-haal ka muqabla kar sakty hain," unka kehna tha.

Isi dauran, Karnataka Health Department ne school bachon ki sehat kay liye aik circular jari kiya hai, jismein hukam diya gaya hai kay:

  • Agar school kay bachon mein bukhar, khansi, zukaam ya doosri COVID-19 symptoms hon, to unhen school na bheja jaye.
  • Doctor ki hidayat kay mutabiq ilaj or ehtiyaati tadabeer ikhtiyar ki jayein.


//