Chinese Tourist Ne Xi’an Mein 2,000 Saal Purani Terracotta Warrior Statues Ko Nuqsan Pohancha Diya

 

Xi’an, China — 30 May ko aik Chinese saiyah ne UNESCO heritage site par mojood mashhoor Terracotta Army kay display mein ghus kar 2 qadim mitti kay faujiyon ko nuqsan pohncha diya.

Police kay mutabiq, 30 saal ka ye shakhs, jiska sirf surname "Sun" bataya gaya hai, museum ka daura kar raha tha jab usne hifazati railing or hifazti jaal ko paar kar kay aik gadday mein chalang laga di. Ye gaddah taqreeban 5.4 meter gahra hai, museum ki website kay mutabiq.

Security hakam ne bataya kay shakhs ne "matti kay jangjo ko dhaka diya or kheench kar gira diya", jisky natijay mein do statues ko mukhtalif had tak nuqsan pohncha. Museum ki hifazat par mamoor staff ne foran usay qaboo mein le liya.

Hakam kay kehne kay mutabiq, shakhs aik zehni bimari ka shikar hai or us kay khilaf case ki tahqiqat jaari hai.

Terracotta Army, jo 209 BC ke aas pas banayi gayi thi, pehly Chinese Shehenshah Qin Shi Huang kay maqbare ki hifazat kay liye tayyar ki gayi thi. Is mein taqreeban 8,000 mitti kay sipahi shamil hain or ye China kay tareekhi virsay ka aik aham hissa mana jata hai. Ye jagah 1987 se UNESCO World Heritage list mein shamil hai.

AFP kay mutabiq, 31 May ko museum ka display mamool kay mutabiq khula raha or ziyarat guzaar usay dekhty rahe.


//