Budget 2025-26: Tankhwahon Aur Pensions Mein 10% Izafa, Naye Taxes Rs2 Trillion Tak
Budget 2025-26 k dastawaiz Parliament mein rasmi tor par paish kiye jaane se pehle samne aa gaye hain. Budget ka majmoi size Rs17,573 billion rakha gaya hai. Is mein se Rs1,000 billion taraqiati (development) kharchon k liye mukarrar kiye gaye hain, jab k ghair-taraqiati (non-development) kharchay Rs16,286 billion tak pohanch gaye hain.
Hukumat ne Rs2 trillion k naye taxes lagane ka plan tayar kiya hai, jab k tamam tankhwah slabs par income tax mein 2.5% ki kami ka tajwez diya gaya hai. Sarkari mulazmin ki tankhwahon aur pensions mein 10% izafa kiya ja raha hai. Grade 1 se 16 k darmiyan mulazmin ko 30% disparity allowance milne ka imkaan hai.
Naye excise duties chips, soft drinks aur ice cream jese items par lagayi ja sakti hain. Petroleum levy ko Rs78 se barhakar Rs100 per liter karne ka imkan hai. Mazid ye bhi kaha gaya hai k petrol ki adaigi sirf digital tareeqon se ki ja sakegi, jab k cash payment par Rs2 per liter ka extra charge lagaya jayega.
Non-filers jo banks se Rs50,000 se zyada nikaalte hain, unpar tax rate 1.2% tak barhaya ja sakta hai. YouTubers, freelancers aur non-filers k liye naye tax iqdamat bhi shamil hain.
Qarz ka kharcha Rs8,207 billion tak pohanch gaya hai, jab k defense k liye Rs2,550 billion mukarrar kiye gaye hain. Federal development budget Rs1,000 billion rakha gaya hai aur soobai annual development programs k liye Rs2,869 billion tajwez hai.
Aham mukarrarat mein National Highway Authority (NHA) k liye Rs226.98 billion, Power Division k liye Rs90.22 billion, aur Water Resources k liye Rs133.42 billion shamil hain. Parliamentarians k development schemes k liye Rs70 billion se zyada rakhe gaye hain.
Azad Jammu & Kashmir (AJK) aur Gilgit-Baltistan (GB) k liye Rs82 billion, Defense Division k liye Rs11.55 billion, aur taleem wa tarbiyat k federal programs k liye Rs18.58 billion rakhe gaye hain.
Hukumat k maashi team Prime Minister Shehbaz Sharif ko budget tajaweez par jald briefing dy gi.