DeepSeek par Ilzam: Cheeni Fauj ki Madad aur US Export Controls se Bachne ki Koshish


Ek nai report k mutabiq, Chinese AI company DeepSeek par ilzam lagaya gaya hai k wo Chinese Army (PLA – People’s Liberation Army) ko madad faraham kar rahi hai aur American export control laws se bachaav karne ki strategies apna rahi hai.


Yeh daaway international media aur AI watchdogs ki taraf se samne aaye hain, jinhon ne kaha k DeepSeek ka AI model aur technology China k military research centers k sath share ki gayi hai jo k U.S. ki export policies ki khilaf warzi hai.


Kya Hai DeepSeek?


DeepSeek aik emerging Chinese AI company hai jo large language models (LLMs) aur generative AI tools banati hai kuch hadh tak OpenAI jaise platforms k mukable k liye. Is company ne apna model Open Source declare kiya tha, lekin analysts ka kehna hai k iska Galat istmaal ho raha hai.


Export Control Violation


U.S. ki taraf se kuch advanced chips aur AI technologies k export par pabandi hai, khaas tor par China k liye. Reports k mutabiq, DeepSeek ne kuch indirect tareeqon se ye technology hasil kar k use PLA research mein share kiya jise experts ek “security threat” keh rahe hain.


Global Concern


Yeh matter sirf China aur America tak mehdood nahi hai. Duniya bhar k AI experts is baat par concern ka izhaar kar rahe hain k agar military-grade AI tools public domain mein aa gaye to is ka misuse terrorism aur cyber warfare mein ho sakta hai.


DeepSeek ka Jawab

Filhal DeepSeek ne in ilzamaat ka koi official jawab nahi diya. Lekin agar saboot saabit ho jaate hain to is par international sanctions ya legal actions bhi ho sakte hain.


//