Scientists Ne Plastic Waste Ko Paracetamol Mein Tabdeel Kar Diya – Science Ka Kamaal
Aj duniya bhar mein plastic pollution ek bara masla bana hua hai. Lekin ab scientists ne ek naya tareeqa daryaft kiya hai jiske zariye plastic waste ko ek bohat he aham dawa, paracetamol, mein badla ja sakta hai. Yeh ek ahem peshraft hai jo na sirf environment ko saaf karne mein madadgar ho sakta hai balkay medical field ko bhi faida de sakta hai.
Yeh Kaise Kaam Karta Hai?
European scientists ne yeh tareeqa develop kiya hai jahan plastic waste, khaaskar PET bottles, ko chemical process k zariye tor kar un mein se wo compounds nikale jaate hain jo paracetamol banane mein istemal ho sakte hain. Is process mein pehlay plastic ko breakdown kiya jata hai aur phir un molecules ko paracetamol mein convert kiya jata hai.
Environment K Liye Fawaid
- Plastic ka dobara istemal (Recycling) hone se pollution kam hoga
- Zehreela kachra kam ho jayega jo samundar aur zameen ko nukhsan pohchata hai
- Health sector ko sustainable tareeqay se dawa milne lagegi
💊 Paracetamol Kya Hai?
Paracetamol ek mashhoor painkiller aur fever reducer hai jo duniya bhar mein istmaal ki jati hai. Har din lakhon log is dawai ka istemal karte hain. Agar yeh plastic waste se banayi ja sake to yeh dawa aur bhi sasti aur asaani se dastiyaab ho sakti hai.
Future Ka Plan
Abhi yeh tareeqa laboratory scale par test ho raha hai, lekin scientists ka kehna hai k aglay kuch saalon mein isay commercial level par bhi use kiya ja sakta hai. Yeh technique industrial scale par aane k baad plastic pollution ko bohat had tak kam karne mein madadgar sabit ho sakti hai.
Conclusion :
Yeh innovation humein yeh seekh deti hai k agar science ka sahi istamal kiya jaye to na sirf insani zindagi behtar banayi ja sakti hai balkay environment ka bhi khayal rakha ja sakta hai. Plastic jahan aik bara masla tha, ab wahi solution ban kar ubhar raha hai.