Faysal Quraishi Ne Drama "Behroopia" Mein Apni Shandar Adakari Se Sab Ka Dil Jeet Liya
Pakistan kay mashoor or har roop mein rang jaane wale actor Faysal Quraishi ne aik baar phir sabit kar diya kay wo asal mein adakari kay ustad hain. Unka naya drama Behroopia filhal unki adakari ki wajah se shiddat se charcha mein hai.
Pehle bhi Meri Zaat Zarra-e-Benishan, Qaid-e-Tanhai, Bashar Momin, aur Muqaddar jaise hit dramas mein apni misaali performances dene kay baad, Faysal Quraishi ne Behroopia mein Mikael ka aik bohat hi mushkil or layered kirdar nibha kar sab ko hairaan kar diya hai.
Is drama mein wo aik aisi shakhsiyat kay roop mein samne aaye hain jismein kai rang or pehlu hain — kabhi masoom bachpan jaisi adaayen, to kabhi diler Punjabi andaaz. Unki har transition itni qudrati hai kay dekhne walay hairat mein mubtala ho jaaty hain.
Fans or tanqeed karny waly dono hi Faysal ki performance par daad de rahe hain. Aik fan ne likha, "Wo Waheed Murad jaise lag rahe hain. Unki body language or tone ne mujhe Waheed Murad ki yaad dila di." Aik or ne kaha, "Punjabi kirdar to kamal ka tha! Faysal ne lajawab adakari dikhayi hai. Ye kirdar unke baghair adhoora hota."
Aik dekhne waly ne kaha, "Agar Faysal Quraishi na hote to ye drama itna impactful na hota. Ye kirdar bohot mushkil tha, lekin unho ne poori mehfil loot li."
Behroopia ke aas paas ka hype is baat ka saboot hai ke Faysal Quraishi ab bhi apni har performance se nayi misaal qaim kar rahe hain. Unhen log "legend", "real king", or "Pakistan ka sab se versatile adakar" keh kar pukarte hain — or wajah bilkul saaf hai: har kirdar mein wo jaan daal dete hain.
Faysal Quraishi ki yeh performance unki range or talent ka aik or naya saboot hai, jo Pakistani drama industry mein unka maqam or bhi buland karta hai.