Hukumat ka Iran-Israel Tanazay k Darmiyan Fuel Stock Karne ka Hukam

Iran aur Israel k darmiyan barhtay huy tanazay k bawajood, Pakistan ki federal hukumat ne mulk mein fuel supply ko barqarar rakhne k liye tamam oil companies ko stockpile yani zakhira andozi ka hukam de diya hai.

Hukumati zaraye k mutabiq, hukumat ne foran 140 million litre petrol import karne ka faisla kiya hai. Oil and Gas Regulatory Authority (OGRA) k zariye jaari aik khat mein tamam oil marketing companies ko kaha gaya hai k woh kam az kam 20 din ka petroleum stock har surat mein barqarar rakhain, kyun k ilaqai surat-e-haal abhi bhi ghair yaqini hai.

Hukumat k is hukam k baad Pakistan State Oil (PSO) ne taaruf karaya hai aik emergency tender jis mein takreeban 70 million litre petrol shamil hai. PSO k afraad ne tasdeeq ki hai k aik fuel tanker, jo pehle 6 July ko Karachi Port par aana tha, usay ab foran Karachi 26 June tak laane ka hukam de diya gaya hai.

Ye qadam is liye uthaya gaya hai taake 1 July tak mulk mein 140 million litre ka izafi fuel mojud ho, taake agar tanaza barhta hai to supply mein koi khalal na aaye.

Hukumati afsaraan ne is baat ka bhi ishara diya hai k agar ilaqai surat-e-haal aur zyada kharab hoti hai to mazeed emergency tenders bhi jaari kiye ja sakte hain. Hukumat surat-e-haal ko qareeb se dekh rahi hai taake mulk ki energy zaruriyat puri ki ja sakein aur kisi bhi qisam ki panic aur fuel ki kami se bachaya ja sake.

//